SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ghair se jam na sakaa rang-e-vafaa mere baa'd miT gayaa sheva-e-taslim-o-razaa mere baa'd us sitamgar ke uThe dast-e-duaa mere baa'd bekasi dekhti hai shaan-e-khudaa mere baa'd ab to vo garmi-e-baazaar-e-hasinaan bhi nahin kaisi tabdil hui aab-o-havaa mere baa'd shukr hai mar ke main aain-e-vafaa se chhuTaa rah sake vo bhi na paaband-e-jafaa mere baa'd shama khaamosh rahi ruuh bhi dab kar nikli koi hangaama-e-aalam na huaa mere baa'd husn aur ishq ke charchon mein bhi kuchh lutf nahin mil gayaa khaak mein duniyaa kaa mazaa mere baa'd jaan dete hue is vaaste Dartaa huun 'shamim' khul na jaae kahin anjaam-e-vafaa mere baa'd"
N
Nabiul Hasan Shamim
Quote
"aarzu-e-dil-e-sad-chaak hai darmaan honaa yaani kuchh aur tiri tegh kaa ehsaan honaa maut aanaa hai gham-e-hijr kaa darmaan honaa ye vo mushkil hai ki aasaan nahin aasaan honaa maqsad-e-zist hai qurbaan ba-dil-o-jaan honaa naam ehsaas-e-faraaez kaa hai insaan honaa ban gae taair-e-tasvir qafas mein aa kar raas aayaa na asiron ko khush-ilhaan honaa rah gai ab to yahi ek ibaadat apni yaad kar kar ke gunaahon ko pashemaan honaa baais-e-marg hui joshish-e-shauq-e-bismil us ki qismat mein na thaa aap kaa ehsaan honaa aaina-daar-e-haqiqat hai khushaa josh-e-junun zarre zarre kaa bayaabaan ke bayaabaan honaa meri baalin pe na baiTho ki bahut mushkil hai jaan se duur sharik-e-gham-e-pinhaan honaa muskuraa kar ye pas-e-qatl bhi kahtaa hai 'shamim' vo bhi ho jaae jo baaqi hai miri jaan honaa"
N
Nabiul Hasan Shamim
Quote
"hamaari tarz-e-shikaayat kisi ko kyaa maalum tumhaaraa rang-e-tabiat kisi ko kyaa maalum har ek khuun ke qatre mein hai tiri tasvir ye intihaa-e-mohabbat kisi ko kyaa maalum hamaare ashk-e-nadaamat piroe jaaeinge banegaa daaman-e-rahmat kisi ko kyaa maalum jo dil bhi dete hain ham naam tak nahin lete hamaari shaan-e-muravvat kisi ko kyaa maalum tajalliyon ne kiyaa intikhaab-e-dil meraa mujhe mili hai jo daulat kisi ko kyaa maalum khudaa ki yaad mein har vaqt mahv rahtaa hai dil-e-'shamim' ki haalat kisi ko kyaa maalum"
N
Nabiul Hasan Shamim
Quote
"mahv kar Daalegi ik din husn ki shohrat mujhe ghair tujh ko dekhte hain hoti hai hairat mujhe ishq ki raahein hain tai karni kisi surat mujhe manzilein dushvaar hain allaah de himmat mujhe hashr ke din bhi gunaahon se na hungaa sharmsaar munh chhupaane ko milegaa daaman-e-rahmat mujhe main pas-e-divaar baiThaa huun sukun-e-qalb se jiite ji duniyaa mein goyaa mil gai jannat mujhe koi rahnaa chaahiye dast-e-junun kaa mashghala le to aai hai bayaabaan mein miri vahshat mujhe zindagi to kaavishon mein hi kaTi apni 'shamim' qabr mein le jaaegi ab khvaahish-e-raahat mujhe"
N
Nabiul Hasan Shamim
Quote
"maut hai tere marizon ko shifaa ho jaanaa qahr hai qaid-e-masaaib se rihaa ho jaanaa haae mushtaaq-e-shahaadat se khafaa ho jaanaa tegh kaa qismat-e-arbaab-e-vafaa ho jaanaa ahl-e-duniyaa miri qismat falak-e-naa-hanjaar sab to ruThe hain kahin tum na khafaa ho jaanaa sab jafaaon ki talaafi hai sitam-kash ke liye tum se vaade koi bhule se vafaa ho jaanaa apni haalat ki khabar kuchh nahin achchhaa hai yahi baais-e-marg hai ehsaas-e-baqaa ho jaanaa bahr-e-taskin dil-e-zaar yahi kaafi hai shikva-e-jaur pe iqraar-e-vafaa ho jaanaa aatish-e-rashk se ye shauq jalaataa hai mujhe us sitamgaar kaa paaband-e-jafaa ho jaanaa jaannaa apni haqiqat kaa bahut mushkil hai sirr-e-maktum hai bande kaa khudaa ho jaanaa ab lab-e-yaar pe purshish hai tamanna ki 'shamim' kaam aaya miraa raazi-ba-razaa ho jaanaa"
N
Nabiul Hasan Shamim
Quote
"paabandi-e-raahat mujhe manzur nahin hai main khush huun ki fitrat miri majbur nahin hai baalin pe ziyaa-e-rukh-e-pur-e-nur nahin hai ab koi ilaaj-e-dil-e-ranjur nahin hai ab koi jagah husn se maamur nahin hai is dil ke sivaa aur koi tuur nahin hai karnaa jo paDe minnat-e-aghyaar ajab kyaa ye bhi miri taqdir se kuchh duur nahin hai main ne jo kahaa jiitaa huun ummid-e-vafaa par farmaayaa zamaane kaa ye dastur nahin hai marne ki tamanna ho ki jiine ki ho khvaahish ik baat bhi meri nahin manzur nahin hai ham dair se hote hue ai shaikh chaleinge is raah se kaaba bhi koi duur nahin hai o but tiraa patthar kaa kalejaa bhi ho paani allaah ki qudrat se ye kuchh duur nahin hai paimaana bhare deti hain saaqi ki nigaahein vo aankh nahin aaj jo makhmur nahin hai kyaa roz dikhaataa hai na jaane ye dil-e-zaar ab tak to 'shamim' aap kaa mashhur nahin hai"
N
Nabiul Hasan Shamim
Quote
"duniyaa ki khvaahishaat mein uljhaa nahin huun main uD jaae jo havaa mein vo tinkaa nahin huun main bimaar un ko dekh ke khaamosh ho gayaa itnaa kahaa zabaan se achchhaa nahin huun main aataa hai mujh ko markaz-e-tauhid kaa khayaal munh se nikal na jaae ki banda nahin huun main har dam yahi duaa hai ki betaabiyaan rahein ye haal ho gayaa hai ki apnaa nahin huun main aasaan nahin hai meri haqiqat ko jaannaa mil jaae jo sabhon ko vo rasta nahin huun main mere hi dam se hai ye mire dil ki bekali apne maraz kaa aap mudaavaa nahin huun main hai aafiyat mein jaan jo miltaa nahin koi achchhaa hai ye 'shamim' ki achchhaa nahin huun main"
N
Nabiul Hasan Shamim
Quote
"tum chale aao to zauq-e-gham-e-hijraan bhi nahin jaan dene kaa kuchh aisaa mujhe armaan bhi nahin dekhtaa hai ki koi baat kaa pursaan bhi nahin tire bimaar ko ab khvaahish-e-darmaan bhi nahin miri vahshat ke asar se thaa zamaana viraan main bayaabaan mein nahin huun to bayaabaan bhi nahin baais-e-qatl huaa haal-e-zabun-e-bismil ye agar sach hai to phir aap kaa ehsaan bhi nahin meraa marnaa bhi hai mauquf iraadon pe tire jis ko aasaan samajhtaa huun vo aasaan bhi nahin tere paikaan-e-sitam kaa huaa maqsad haasil zakhm dil mein hai mire aur numaayaan bhi nahin ham-navaa soch mein hain baagh hai suunaa suunaa main qafas mein huun to vo rang-e-gulistaan bhi nahin dil-e-gum-gashta se milne ki tamanna hai 'shamim' ye vo khvaahish hai ki jis kaa koi imkaan bhi nahin"
N
Nabiul Hasan Shamim
Quote
"zakhm-e-paikaan-e-sitam laaeq-e-izhaar nahin ham ko manzur ilaaj-e-dil-e-bimaar nahin dil miraa dekh ke kahte hain ki darkaar nahin ye bhi ik husn-e-talab hai ki talabgaar nahin ik vafaa hai ki unhein yaad dilaati hai miri ik yahi baat hai jis se unhein inkaar nahin maail-e-shauq-e-asiri hai rihaai kyaa hai vo bhi aazaad nahin hai jo giraftaar nahin be-niyaazi ki ajab shaan hai allaah allaah us ki duniyaa hai jo duniyaa kaa talabgaar nahin qaid-e-hasti se rihaa hotaa hai teraa vahshi saans zanjir hai us kaa bhi ravaadaar nahin aatish-e-ishq mein jalne ko huaa huun paidaa ek zarra bhi miri khaak kaa bekaar nahin chashm-e-saaqi ke ishaaron pe nigaahein rakkhe mai-kade vaalon mein itnaa koi hushiyaar nahin band ki aankh to phir ham hain na duniyaa hai 'shamim' safar-e-manzil-e-hasti koi dushvaar nahin"
N
Nabiul Hasan Shamim
Quote
"hamein safina-e-hasti kaa rahnumaa na milaa khudaa ko saath liyaa koi naakhudaa na milaa sukun-e-qalb milaa be-niyaaziyaan paain uThaae haath jo teri taraf to kyaa na milaa kisi ki shirkat-e-aghyaar kab gavaaraa thi khudaa kaa shukr koi dard-aashnaa na milaa taDap taDap ke tire bismilon ne maqtal mein baDhaae haath magar daaman-e-qazaa na milaa mili thi aankh to phir taab-e-did bhi milti tajalliyon ke tamaasha mein kuchh mazaa na milaa thaa iztiraab mein vo lutf-e-zindagi muzmar phir us ke baad kisi baat mein mazaa na milaa tumhaari shokhi-e-taqrir kaa to kyaa kahnaa javaab saaf kabhi meri baat kaa na milaa nigaah sharm se nichi rahi pashemaan ki vo be-vafaa jo milaa bhi to be-vafaa na milaa sharik-e-haal ab ahbaab tak nahin hote 'shamim' ham ko bhi qismat se kyaa zamaana milaa"
N
Nabiul Hasan Shamim