SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"sukun-e-dil jo mayassar ho zindagi ke liye bahut hai itnaa bhi jiine ko aadmi ke liye hai zarre zarre ki tanvir daavat-e-sheri ye kaaenaat hai goyaa ki shaairi ke liye qusur apnaa thaa dil ki lagi samajh baiThe dil us ne sirf lagaayaa thaa dil-lagi ke liye khushi kaa auron ki bhi har-nafas khayaal rahe jiye bhi kyaa jiye gar apni hi khushi ke liye tamaam bazm usi shama se munavvar hai taras rahi hai jo khud apni raushni ke liye 'nazar' na hoti jo takmil-e-aashiqi maqsud to haath baDhtaa na phir us ki dosti ke liye"
N
Naseem Fatima Nazar Lakhnavi
Quote
"vo jin ke pyaar mein ham khud ko hain bhulaae hue ghazab hai dil vahi auron se hain lagaae hue kisi kaa gham hain kaleje se ham lagaae hue zamaana biit gayaa ham ko muskuraae hue kisi ki kaise ho pahchaan is zamaane mein ki asl chehra to hai aadmi chhupaae hue vo baar-e-gham ki malaaik jise uThaa na sake vo baar-e-gham bhi hai zaat-e-bashar uThaae hue vo naag jis ne ki pichhaa kiyaa thaa kal meraa vo aaj phir hai taaaqub mein phan uThaae hue zabaan hi nahin khulti ki haal-e-dil kah duun na jaane kab se 'nazar' baiThe hain vo aae hue"
N
Naseem Fatima Nazar Lakhnavi
Quote
"ham ko yaad-e-yaar mein haasil jo tanhaai hui TuuT kar barsi ghaTaa jo dil pe thi chhaai hui zindagi jab se tiri meri shanaasaai hui tu tamaashaa ban gai aur main tamaashaai hui aaeinge saavan mein saajan le ke aai hai naved be-vajh phirti nahin purvaai bauraai hui aap itnaa to samajhne ki kabhi zahmat karein aap ki bhi meri rusvaai se rusvaai hui jaag uTThe aaj lo phir ishq ke soe nasib zindagi phir aaj us but ki tamannaai hui chhup gae hain maah-o-anjum har taraf hai khaamushi aa bhi jaa ai yaad-e-rafta ab to tanhaai hui is qadar mazbut hai aain-e-ulfat ki giraft kah nahin paati zabaan par baat bhi aai hui raat aae to na jaane kis tarah guzre 'nazar' hai tabiat shaam hi se aaj ghabraai hui"
N
Naseem Fatima Nazar Lakhnavi
Quote
"ab jo tum se nahin mil paae to mushkil hogi fasl-e-gul yunhi guzar jaae to mushkil hogi jis ko mar mar ke bhulaayaa thaa baDi mushkil se phir kahin yaad vo aa jaae to mushkil hogi phir vo purvaai chali ai mire dil khair nahin phir koi choT ubhar aae to mushkil hogi main nahin dekhti is Dar se kisi ki jaanib aankh se dil mein samaa jaae to mushkil hogi zulmat-e-yaas koi kam nahin aur us pe agar shaam ke gahre hue saae to mushkil hogi nikle jaate hain mire dil ke sab armaan 'nazar' ghar jo viraan ye ho jaae to mushkil hogi"
N
Naseem Fatima Nazar Lakhnavi
Quote
"aap-biti ho vo yaa koi kahaani kahiye baat jo kahiye vo urdu ki zabaani kahiye koi dildaar to miltaa hi nahin hai kis se dard-e-dil dard-e-jigar soz-e-nihaani kahiye aadmi aadmi ke khuun kaa pyaasaa hai yahaan aaj-kal khuun ko bahtaa huaa paani kahiye desh ki saari zabaanon ki zabaan hai urdu is ko yak-jehti-e-qaumi ki nishaani kahiye garm baazaar hai ab nafrat o be-zaari kaa jins-e-tahzib-o-sharaafat ki giraani kahiye zulf-o-rukhsaar-o-khat-o-khaal-o-lab-e-jaanaan ki baat kahiye to ghazal hi ki zabaani kahiye vaqt kahtaa hai ki nafrat ke parastaaron se ulfat-o-mahr-o-mohabbat ki kahaani kahiye chaand se baDh ke vatan ki ye zamin hai us ko khushnumaa kahiye hasin kahiye suhaani kahiye sher ban kar jo nikalte hain mire dil se 'nazar' apne jazbaat ghazal hi ki zabaani kahiye"
N
Naseem Fatima Nazar Lakhnavi
Quote
"maut aae ghar se duur bhi gar naa-gahaan mujhe miTTi tiri nasib ho hindostaan mujhe naaqus se hai aati sadaa-e-azaan mujhe kahne do jo bhi kahte hain ahl-e-jahaan mujhe manzil ki aarzu hai na ab us ki justuju chhoDaa junun-e-shauq ne laa kar kahaan mujhe ye dil ki dhaDkanein hain ki parde mein roz-o-shab koi sunaa rahaa hai miri daastaan mujhe ai dil hazaar baar tiraa imtihaan liyaa le lene de ab apnaa zaraa imtihaan mujhe ye bhi 'nazar' adaa-e-fareb-e-vafaa na ho vo aaj aa rahe hain 'nazar' mehrbaan mujhe"
N
Naseem Fatima Nazar Lakhnavi
Quote
"bhuul chukaa jo tujh ko ai dil yaad mein us ki kyon rotaa hai duniyaa kaa dastur yahi hai koi kisi kaa kab hotaa hai subh ki jaanib dekh abhi se raat ke gham mein kyaa rotaa hai duniyaa ki to rasm yahi hai paataa vahi hai jo khotaa hai jis ko tamaa na maal-o-zar ki jis ko chaah na laal-o-gohar ki pair pasaare ghar mein apne kitne sukh se vo sotaa hai ye duniyaa kab miit kisi ki ye kyaa jaane priit kisi ki naahaq is ke pher mein paD kar jaan ko apni tu khotaa hai kyon DhunDe tu mullaa panDit kyon bhaTke tu mandir masjid pachhtaave kaa teraa aansu paapon ko saare dhotaa hai jis ko 'nazar' khu jaur-o-jafaa ki us se na rakh ummid vafaa ki murakh hai jo banjar mein tu gehun ke daane botaa hai"
N
Naseem Fatima Nazar Lakhnavi
Quote
"kyaa jaane kyaa tum ne sochaa kuchh to aakhir sochaa hogaa ham ne to ye soch liyaa hai jo bhi hogaa achchhaa hogaa aavaara saa phirtaa thaa jo ek jagah kab Thahraa hogaa kyaa jaane kis aangan mein vo abr kaa TukDaa barsaa hogaa ho ke khafaa pahle to us ne rasm-e-vafaa ko toDaa hogaa dil ke haathon bebas ho kar phir mujh ko khat likkhaa hogaa apne chhoTe se kamre mein khoyaa khoyaa tanhaa tanhaa yaad kisi ki aati hogi chupke chupke rotaa hogaa aaina dil kaa TukDe TukDe aks-e-tamannaa bikhre bikhre aakhir aisaa kaun aayaa thaa jis ne patthar pheinkaa hogaa jis ne sab ki pyaas bujhaai pyaas na us ki samjhaa koi vo to ik aisaa dariyaa thaa sadiyon se jo pyaasaa hogaa baam-o-dar hain mahke mahke chaaron taraf khushbu ke Dere shaayad aayaa hogaa 'nazar' vo ghar yunhi kab mahkaa hogaa"
N
Naseem Fatima Nazar Lakhnavi
Quote
"khaana-e-dil mein teraa aks banaa rakhaa hai ham ne tasvir ko shishe mein sajaa rakhaa hai jis kaa ji chaahe chalaa aae hamaare ghar mein ham ne is vaaste darvaaza khulaa rakhaa hai shama gul kar do nahin is ki zarurat ham ne dil-e-pur-nur se aivaan sajaa rakhaa hai us ke jalvon ko kiyaa dair-o-haram tak mahdud ahl-e-duniyaa ne ye kyaa svaang rachaa rakhaa hai tum bhi kah lo mujhe jo dil mein tumhaare aae vaise kyaa kahne ko duniyaa ne uThaa rakhaa hai koi paDh le na tire naam kaa paighaam un mein ham ne is Dar se nigaahon ko jhukaa rakhaa hai yuun hi kuchh kam na the divaane ki ab aur hamein aap ke husn ne divaana banaa rakhaa hai dard bechain hai siine mein magar ham ne 'nazar' dard ki chikh ko aahon mein dabaa rakhaa hai"
N
Naseem Fatima Nazar Lakhnavi
Quote
"tumhaare gham ne hamein is qadar sanbhaal diyaa kisi ne kuchh bhi kahaa ham ne hans ke Taal diyaa mazaaq-e-ishq mashiyyat ne hasb-e-haal diyaa mujhe nigaah ataa ki tumhein jamaal diyaa jo aaj vaada kiyaa kal pe us ko Taal diyaa yuun roz roz ki uljhan mein dil ko Daal diyaa tere jamaal ko dekhaa to yuun lagaa jaise majaaz mein hi haqiqat ne khud ko Dhaal diyaa jo aankh se abhi Tapkaa thaa koi armaan thaa dil-e-gharib ne ghar se jise nikaal diyaa na jaane kitne ghamon ko masarratein bakhshin jo gham diyaa mujhe tu ne vo laa-zavaal diyaa ye kyaa ki us ne mohabbat ke imtihaan ke liye kisi se hal jo na ho mujh ko vo savaal diyaa kisi ki yaad ne bakhshin jo dhaDkanein dil ko unhin ko sher ke qaalib mein main ne Dhaal diyaa 'nazar' usi se na daad-e-sukhan mili mujh ko miri ghazal ne jise husn-e-laa-zavaal diyaa"
N
Naseem Fatima Nazar Lakhnavi