Quote
"safar mein mushkilein aaein to jurat aur baDhti hai koi jab raasta roke to himmat aur baDhti hai bujhaane ko havaa ke saath gar baarish bhi aa jaae charaagh-e-be-haqiqat ki haqiqat aur baDhti hai miri kamzoriyon par jab koi tanqid kartaa hai vo dushman kyuun na ho us se mohabbat aur baDhti hai zarurat mein azizon ki agar kuchh kaam aa jaao raqam bhi Duub jaati hai adaavat aur baDhti hai agar bikne pe aa jaao to ghaT jaate hain daam aksar na bikne kaa iraada ho to qimat aur baDhti hai"







