Quote
"haris-e-khvaahish-e-laal-o-guhar nahin hui main mohabbaton mein talabgaar-e-zar nahin hui main tiraa khayaal rahaa dil ki dhaDkanon ke qarin so tere gham se kabhi be-khabar nahin hui main sajaayaa khud ko vafaa ke singhaar se main ne isi sabab se kabhi be-hunar nahin hui main kisi ko kaise bataati main manzilon kaa pata jab apne saath sharik-e-safar nahin hui main khudaa-e-husn-azal ne mujhe navaazaa hai khumaar-e-ishq se sarf-e-nazar nahin hui main hai us kaa daavaa ki main us ki zindagi huun 'naaz' vo kyaa karegaa kisi din agar nahin hui main"







