SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNazeer Banarasi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"aur to kuchh na huaa pi ke bahak jaane se baat mai-khaane ki baahar gai mai-khaane se koi paimaana laDaa jab kisi paimaane se ham ne samjhaa ki pukaaraa gayaa mai-khaane se do nigaahon kaa javaani mein hai aisaa milnaa jaise divaane kaa milnaa kisi divaane se dil ki duniyaa mein saveraa saa nazar aataa hai hasratein jaag uThi hain tire aa jaane se dil ki ujDi hui haalat pe na jaae koi shahr aabaad hue hain isi viraane se jalva-gar aaj unhein bhi sar-e-mimbar dekhaa jin ko dekhaa thaa nikalte hue mai-khaane se dar-o-divaar pe qabza hai udaasi 'nazir' ghar miraa ghar na rahaa un ke chale jaane se"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"ek jhonkaa is tarah zanjir-e-dar khaDkaa gayaa main ye samjhaa bhulne vaale ko main yaad aa gayaa umr bhar ki baat bigDi ik zaraa si baat mein ek lamha zindagi bhar ki kamaai khaa gayaa ai zamin tujh ko mohabbat se basaane ke liye aasmaanon ki bulandi se mujhe pheinkaa gayaa inqilaab-e-dahr bar-haq lekin aisaa inqalaab vo kahin paae gae aur main kahin paayaa gayaa aaina dikhlaane aae the pareshaani ke din thaa miraa chehra magar mujh se na pahchaanaa gayaa aap ne apni zabaan se jis ko apnaa kah diyaa vo divaana har jagah khoyaa huaa paayaa gayaa khairiyat kyaa puchhte ho gesu-e-haalaat ki vaqt hi uljhaa gayaa thaa vaqt hi suljhaa gayaa us taraf jaate hue ab dil dahaltaa hai 'nazir' zindagi mein jis taraf se baar-haa aayaa gayaa"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"akasr is tarah se bhi raat basar hoti hai raat ki raat nazar jaanib-e-dar hoti hai jis se duniyaa-e-sukun zer-o-zabar hoti hai vo mulaaqaat sar-e-raahguzar hoti hai Thes lagti hai jahaan ishq ki khuddaari ko zindagi baDh ke vahin sina-sipar hoti hai ye sapedi-e-sahar hai ki sitaaron kaa kafan raat dam toD rahi hai ki sahar hoti hai apne daaman se to main ponchh rahaa huun aansu daaman-e-dost ki tauhin magar hoti hai aap aaraaish-e-gesu mein lage hain naahaq faateh-e-dil to mohabbat ki nazar hoti hai raasta roke hue kab se khaDi hai duniyaa na idhar hoti hai zaalim na udhar hoti hai tu nazar bhar ke sar-e-bazm na dekh un ko 'nazir' is se rusvaai-e-tahzib-e-nazar hoti hai"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"ham un ke dar pe na jaate to aur kyaa karte unhein khudaa na banaate to aur kyaa karte baghair ishq andhere mein thi tiri duniyaa charaagh-e-dil na jalaate to aur kyaa karte hamein to us lab-e-naazuk ko deni thi zahmat agar na baat baDhaate to aur kyaa karte khataa koi nahin pichhaa kiye hue duniyaa jo mai-kade mein na jaate to aur kyaa karte andheraa maangne aayaa thaa raushni ki bhiik ham apnaa ghar na jalaate to aur kyaa karte kisi se baat jo ki hai to vo khafaa hain 'nazir' kisi ko dost banaate to aur kyaa karte"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"ye karein aur vo karein aisaa karein vaisaa karein zindagi do din ki hai do din mein ham kyaa kyaa karein dusron se kab talak ham pyaas kaa shikva karein laao tesha ek dariyaa dusraa paidaa karein husn khud aae tavaaf-e-ishq karne ke liye ishq vaale zindagi mein husn to paidaa karein chaDh ke suuli par kharideinge kharidaar aap ko aap apne husn kaa baazaar to unchaa karein ji mein aataa hai ki dein parde se parde kaa javaab ham se vo parda karein duniyaa se ham pardaa karein sun rahaa huun kuchh luTere aa gae hain shahr mein aap jaldi band apne ghar kaa darvaaza karein kijiyegaa rahzani kab tak ba-naam-e-rahbari ab se behtar aap koi dusraa dhandaa karein is puraani bevafaa duniyaa kaa ronaa kab talak aaiye mil-jul ke ik duniyaa nai paidaa karein dil hamein taDpaae to kaise na ham taDpein 'nazir' dusre ke bas mein rah kar apni vaali kyaa karein"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"bad-gumaani ko baDhaa kar tum ne ye kyaa kar diyaa khud bhi tanhaa ho gae mujh ko bhi tanhaa kar diyaa zinda rakhne ke liye rakkhaa hai achchhaa silsila ik miTaayaa dusraa armaan paidaa kar diyaa aap samjhaane bhi aae qibla-o-kaaba to kab ishq ne jab be-niyaaz-e-din-o-duniyaa kar diyaa bandagaan-e-daur-e-haazir ki khudaai dekhiye jis jagah jis vaqt chaahaa hashr barpaa kar diyaa kal ki kal hai kal jab aaegaa to samjhaa jaaegaa aaj to saaqi ne dil kaa bojh halkaa kar diyaa mohtaram pi lijiye mausam ne mauqaa de diyaa dekhiye kaali ghaTaa ne uTh ke pardaa kar diyaa vo ghar aae the 'nazir' aise mein kuchh kahnaa na thaa shukr kaa mauqaa thaa pyaare tu ne shikvaa kar diyaa"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"hue mujh se jis ghaDi tum judaa tumhein yaad ho ki na yaad ho miri har nazar thi ik iltijaa tumhein yaad ho ki na yaad ho vo tumhaaraa kahnaa ki jaaeinge agar aa sake to phir aaeinge use ik zamaana guzar gayaa tumhein yaad ho ki na yaad ho miri be-qaraariyaan dekh kar mujhe tum ne di thiin tasalliyaan miraa chehra phir bhi udaas thaa tumhein yaad ho ki na yaad ho miri bebasi ne zabaan tak jise laa ke tum ko rulaa diyaa mire TuuTe saaz ki vo sadaa tumhein yaad ho ki na yaad ho tumhein chand qatra-e-ashk bhi kiye pesh jis ke javaab mein vo salaam nichi nigaah kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho mire shaane par yahi zulf thi jo hai aaj mujh se khinchi khinchi mire haath mein yahi haath thaa tumhein yaad ho ki na yaad ho kabhi haath mein jo sharaab li vahin tum ne chhin ke pheink di mujhe yaad hai mire paarsaa tumhein yaad ho ki na yaad ho kahin tum ko jaanaa huaa agar na gae baghair 'nazir' ke vo zamaana apne 'nazir' kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"masjid-o-mandir kalisaa sab mein jaanaa chaahiye dar kahin kaa ho muqaddar aazmaanaa chaahiye mujh ko rone do mujhe rone mein miltaa hai mazaa muskuraao tum ki tum ko muskuraanaa chaahiye khatm par meraa safar hai Dagmagaate hain qadam aage baDh kar un ko meraa dil baDhaanaa chaahiye zindagi bhar chal ke ham aae hain manzil ke qarib do-qadam ab chal ke manzil ko bhi aanaa chaahiye hosh aayaa zindagi kaa baar uThaa lene ke baad bojh jitnaa uTh sake utnaa uThaanaa chaahiye rakh diyaa ik din main jis ghar ko khanDar kar ke 'nazir' us ko banne ke liye ab ik zamaana chaahiye"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"yahaan ki fikr vahaan kaa khayaal rakkhaa hai akele donon jahaan ko sambhaal rakkhaa hai siyaah gesu ko shaanon pe Daal rakkhaa hai balaa kaa saanp sapere ne paal rakkhaa hai mujhe to hashr ke vaade pe Taal rakkhaa hai ajal kaa naam badal kar visaal rakkhaa hai ye din ke dosh pe bikhri hain shaam ki zulfein ki ik machhere ke kaandhe pe jaal rakkhaa hai jis aaftaab ko samjhe the sab ki Duub gayaa use gilass mein rindon ne Dhaal rakkhaa hai ye kaun aisi pari hai ki jis ko rindon ne zamin se taa-ba-surayyaa uchhaal rakkhaa hai hamaari tauba kaa khuun hai ki baada-e-rangin ye jaam jaam mein kyaa laal laal rakkhaa hai zamaana detaa hai mujh ko zavaal ki dhamki na jaane kaun saa mujh mein kamaal rakkhaa hai 'nazir' mar ke chukaanaa paDegaa qarz-e-hayaat nahin gar aaj to kal intiqaal rakkhaa hai"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"jo ghazal mahlon se chal kar jhonpaDon tak aa gai kal sunoge gaanv ke chaupaal tak par chhaa gai khet mein jo chug rahi thi qaid mein ghabraa gai gaanv ki mainaa jo aai shahr mein dubraa gai aisi raani jis kaa ji lagtaa na thaa vanvaas main ik mohabbat ki badaulat us ko kuTiyaa bhaa gai seink detaa thaa jo jaaDe mein gharibon ke badan aaj us suraj ko ik divaar uTh kar khaa gai kaisi kaisi shakhsiyat algaav-vaadi ho gai kaise kaise zehn ko firqa-parasti khaa gai us ki sattar ki kamaai aur pachaasi kaa hai kharch aadmi achchhaa thaa us ko ghar ki chintaa khaa gai ek pal mein umr-bhar kaa saath chhuTaa hai 'nazir' bad-gumaani zindagi-bhar ki kamaai khaa gai"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"kitni sharmili lajili hai havaa barsaat ki milti hai un ki adaa se har adaa barsaat ki jaane kis mahivaal se aati hai milne ke liye sohni gaati hui saundhi havaa barsaat ki us ke ghar bhi tujh ko aanaa chaahiye thaa ai bahaar jis ne sab ke vaaste maangi duaa barsaat ki ab ki baarish mein na rah jaae kisi ke dil mein mail sab ki gagri dho ke bhar de ai ghaTaa barsaat ki dekhiye kuchh aise bhi bimaar hain barsaat ke botalon mein le ke nikle hain davaa barsaat ki jeb apni dekh kar mausam se yaari kijiye ab ki mahngi hai bahut aab-o-havaa barsaat ki baadalon ki ghan-garaj ko sun ke bachche ki tarah chaunk chaunk uThti hai rah rah kar fazaa barsaat ki raaste mein tum agar bhige to khafgi mujh pe kyuun mere munsif pe khataa meri hai yaa barsaat ki ham to baarish mein khuli chhat par na soeinge 'nazir' aap tanhaa apne sar liije balaa barsaat ki"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"sunaa hai ki un se mulaaqaat hogi agar ho gai to baDi baat hogi nigaahon se sharh-e-hikaayaat hogi zabaan chup rahegi magar baat hogi mire ashk jis shab ke daaman mein honge yaqinan vo taaron bhari raat hogi samajhti hai shaam o sahar jis ko duniyaa tire zulf o aariz ki khairaat hogi na saavan hi barsaa na bhaadon hi barsaa bahut shor sunte the barsaat hogi mohabbat bahut be-mazaa hogi jis din zabaan be-niyaaz-e-shikaayaat hogi vahaan qalb ki raushni saath degi jahaan din na hogaa faqat raat hogi 'nazir' aao ro lein gale mil ke ham tum khudaa jaane phir kab mulaaqaat hogi"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"ik raat mein sau baar jalaa aur bujhaa huun muflis kaa diyaa huun magar aandhi se laDaa huun jo kahnaa ho kahiye ki abhi jaag rahaa huun soungaa to so jaaungaa din bhar kaa thakaa huun qindil samajh kar koi sar kaaT na le aae taajir huun ujaale kaa andhere mein khaDaa huun sab ek nazar pheink ke baDh jaate hain aage main vaqt ke show-case mein chup-chaap khaDaa huun vo aaina huun jo kabhi kamre mein sajaa thaa ab gir ke jo TuuTaa huun to raste mein paDaa huun duniyaa kaa koi haadsa khaali nahin mujh se main khaak huun main aag huun paani huun havaa huun mil jaaungaa dariyaa mein to ho jaaungaa dariyaa sirf is liye qatra huun ki dariyaa se judaa huun har daur ne bakhshi mujhe mearaaj-e-mohabbat neze pe chaDhaa huun kabhi suuli pe chaDhaa huun duniyaa se niraali hai 'nazir' apni kahaani angaaron se bach niklaa huun phulon se jalaa huun"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"hain yuun mast aankhon mein Dore gulaabi sharaabi ke pahlu mein jaise sharaabi vo aankhein gulaabi aur aisi gulaabi ki jis rut ko dekhein banaa dein sharaabi badaltaa hai har daur ke saath saaqi ye duniyaa hai kitni baDi inqilaabi javaani mein is tarah milti hain nazrein sharaabi se miltaa hai jaise sharaabi nichoDo koi baDh ke daaman shafaq kaa falak par ye kis ne giraa di gulaabi ghani mast palkon ke saae mein nazrein bahakte hue mai-kadon mein sharaabi zaraa mujh se bachte raho paarsaao kahin tum ko chhu le na meri kharaabi 'nazir' apni duniyaa to ab tak yahi hai sharaab aaftaabi fazaa maahtaabi"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"ek divaane ko aaj aae hain samjhaane kai pahle main divaana thaa aur ab hain divaane kai aql baDh kar ban gai thi dard-e-sar jaate kahaan aa gae divaangi ki had mein farzaane kai saari duniyaa aa rahi hai dekhne ke vaaste sar-phiron ne ek kar Daale hain viraane kai kyaa hamaare daur ke kuchh piine vaale uTh gae aaj khaali kyon nazar aate hain paimaane kai mujh ko chup rahnaa paDaa sirf aap kaa munh dekh kar varna mahfil mein the mere jaane pahchaane kai kis tarah vo din bhulaaun jis bure din kaa sharik ek bhi apnaa nahin thaa aur begaane kai main vo kaashi kaa musalmaan huun ki jis ko ai 'nazir' apne ghere mein liye rahte hain but-khaane kai"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi
Quote
"ye inaayatein ghazab ki ye balaa ki mehrbaani meri khairiyat bhi puchhi kisi aur ki zabaani nahin mujh se jab taalluq to khafaa khafaa se kyuun hain nahin jab miri mohabbat to ye kaisi bad-gumaani miraa gham rulaa chukaa hai tujhe bikhri zulf vaale ye ghaTaa bataa rahi hai ki baras chukaa hai paani tiraa husn so rahaa thaa miri chheD ne jagaayaa vo nigaah main ne Daali ki sanvar gai javaani miri be-zabaan aankhon se gire hain chand qatre vo samajh sakein to aansu na samajh sakein to paani hai agar hasin banaanaa tujhe apni zindagi ko to 'nazir' is jahaan ko na samajh jahaan-e-faani"
Nazeer BanarasiNazeer Banarasi