SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNazim Sultanpuri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ghar ko viraana karein aish ki parvaa na karein teri aankhon kaa ishaara ho to kyaa kyaa na karein dast-e-vahshat ho to kyon baat junun ki jaae jeb-o-daaman hain to kyon gul ki tamannaa na karein aap se meri guzaarish hai kyon yuun shaam-o-sahar meri khvaahish se ziyaada mujhe dekhaa na karein kaun dekhe chaman-e-dahr mein gul ki surat ham agar dida-e-pur-nam se sanvaaraa na karein kaise taaza ho tire gesu-e-khamdaar ki yaad ham jo raah-e-rasan-o-daar se guzraa na karein vo bhi kis dil se sunein kushta-e-gham ki rudaad ham bhi kis munh se bayaan dard kaa afsaana karein"
Nazim SultanpuriNazim Sultanpuri
Quote
"ye to nahin maalum ki kyaa baat hui thi haan saahil-e-dariyaa pe bahut bhiiD lagi thi apni ravish-e-kaj-kulahi se na bani baat sunte hain ki is Dhang se bahuton ki bani thi ham din ke ujaalon ko duaa do ki abhi tak kuche mein tumhaare shab-e-taarik basi thi dekhaa thaa kisi shokh ne shab khvaab chaman kaa raunde hue phulon ki adaa bol rahi thi jiddat ke ujaale mein bhi palte hain andhere kisi dhuup ke maare ne khudaa lagti kahi thi chup-chaap chale aae tum achchhaa huaa 'naazim' saaqi se ulajhnaa bhi to ik be-adabi thi"
Nazim SultanpuriNazim Sultanpuri
Quote
"kis shaghl ko apnaae aakhir tiraa saudaai hansne mein bhi rusvaai rone mein bhi rusvaai arbaab-e-mohabbat ke kyaa kyaa na sune taane rudaad-e-dil-e-muztar lab par jo kabhi aai haan teri tamanna ko ham dil se bhulaa deinge jiine ki koi surat zaalim jo nikal aai is baat se kyaa haasil ye ahl-e-sukhan jaanein jis baat mein hoti hai gahraai na giraai ab tere liye duniyaa hoti hai to ho dushman kaanTon se nahin Dartaa phulon kaa tamannaai tum dair-o-kalisaa hi dekho na haram 'naazim' aisaa bhi bhalaa kyaa hai saudaa-e-jabin-saai"
Nazim SultanpuriNazim Sultanpuri
Quote
"ik subh-e-aarzi thi ki pal mein guzar gai ik shaam-e-mustaqil thi ki zaalim Thahar gai jalve ke izhdihaam mein kuchh sujhtaa nahin nazzaare ki havas mein mataaa-e-nazar gai yaaro ye kis navaa-e-mohabbat ki guunj thi dekho to saari bazm ko divaana kar gai un ki to ik adaa-e-taghaaful ki baat thi mere to khvaab-e-shauq ki duniyaa bikhar gai simTi to ek goshe mein pinhaan thi vo nigaah chhalki to kaaenaat ko sairaab kar gai aavaargi-e-shauq mein guzregi ab kahaan ik shab to mai-kade ki fazaa mein guzar gai jalti hai sar-barahna kaDi dhuup mein hayaat vo chhaanv ahd-e-rafta ki aakhir kidhar gai marne lage ho shokh nazaaron pe aaj-kal sanjidgi mizaaj ki 'naazim' kidhar gai"
Nazim SultanpuriNazim Sultanpuri
Quote
"anjuman se mujhe is tarah uThaane vaale ungliyaan tujh pe uThaaeinge zamaane vaale haae kuchh tujh ko nahin meri tamanna kaa lihaaz meri jaanib se nazar pher ke jaane vaale sochtaa huun ki tiri chashm-e-karam hone tak mujh ko afsaana banaa deinge zamaane vaale raunaq-e-bazm baDhaanaa hi nahin kaam apnaa ham hain sahraa ko bhi gulzaar banaane vaale iqtizaa vaqt kaa jo chaahe karaa le varna ham na the ghair ke ehsaan uThaane vaale kyaa bataaoge sabab girya-e-gham kaa 'naazim' puchh baiTheinge agar tum se zamaane vaale"
Nazim SultanpuriNazim Sultanpuri
Quote
"teri bazm-e-tarab ki sarkhushi kuchh aur kahti hai mire maahaul ki sanjidgi kuchh aur kahti hai fazaa-e-shaam-e-mai-khaana abhi kuchh aur kahti hai hamaari shiddat-e-tishna-labi kuchh aur kahti hai farozaan to hai baam-e-zindagi fan ke charaaghon se magar ahd-e-hunar ki raushni kuchh aur kahti hai tumhaari chaak-daamaani ba-fasl-e-gul bajaa yaaro mazaaq-e-ishq ki shaaistagi kuchh aur kahti hai taqaazaa hai tumhaari khastagi kaa tum Thahar jaao hamaari aabla-paai abhi kuchh aur kahti hai lahu rote hue go umr guzri hai mohabbat mein magar qisse ki rangini abhi kuchh aur kahti hai adaa-e-shokh jin aankhon mein hoti thi takallum ki ab un aankhon ki gahri khaamushi kuchh aur kahti hai bajaa hai parda-daari-e-shikast-e-aarzu 'naazim' tire lab ki magar phiki hansi kuchh aur kahti hai"
Nazim SultanpuriNazim Sultanpuri
Quote
"unhin kaanTon se jo phulon ki zabaan hote hain kitne afsaane gulistaan ke bayaan hote hain main hi aavaara saa phirtaa huun kisi ki khaatir log yuun raat ko saDkon pe kahaan hote hain chhoD dete hain vahaan dard ke kitne nashtar ham ghazal-khvaan tiri mahfil mein jahaan hote hain ek had tak jo bujhaa dete the shoale dil ke ab in aankhon mein vo aansu bhi kahaan hote hain ek duniyaa-e-khirad dil se lipaT jaati hai ham jo us shokh ki jaanib nigaraan hote hain ham vo andesha-e-fardaa hain chaman mein 'naazim' gul ke chehre se jo har aan ayaan hote hain"
Nazim SultanpuriNazim Sultanpuri
Quote
"baada hi kahe hai na vo paimaana kahe hai jo baat tiri nargis-e-mastaana kahe hai hasti kaa bharam pyaar kaa nazraana kahe hai kyaa kyaa na gham-e-ishq ko divaana kahe hai ye shahr-e-tamannaa hai har ik chehra yahaan kaa sang-e-sitam-o-jaur kaa afsaana kahe hai guzraa hai koi qaafila-e-baad-e-bahaari mahki hui khaak-e-rah-e-viraana kahe hai kyaa baat hai divaane ke andaaz-e-nazar ki har chiiz ko aks-e-rukh-e-jaanaana kahe hai kahte hain ki 'naazim' ravish-e-aam se haT kar is husn-e-jahaan-taab kaa afsaana kahe hai"
Nazim SultanpuriNazim Sultanpuri
Quote
"zindagi hosh ki duniyaa se judaa lagti hai jab kisi daaman-e-gul-ru ki havaa lagti hai shukriya teri navaazish kaa magar kyaa kahiye ye navaazish bhi to ik tarz-e-jafaa lagti hai is chaman-zaar-e-mohabbbat mein hamein ai hamdam apni hasti bhi kisi gul ki duaa lagti hai ham ko be-raunaqi-e-shaam-e-tamannaa taslim aap ki subh bhi maange kaa diyaa lagti hai kyaa qayaamat hai ki be-raah-ravi bhi ham ko vajh-e-shaaistagi-e-fikr-o-navaa lagti hai mujh se milti hai to katraa ke nikal jaati hai har khushi chashm-e-taghaaful ki adaa lagti hai ho jo maanus tabassum ki kiran se 'naazim' dil ki har fikr ujaalon ki navaa lagti hai"
Nazim SultanpuriNazim Sultanpuri
Quote
"khabar nahin ki abhi aur kyaa hai qismat mein sanbhal gayaa huun jo gir ke rah-e-mohabbat mein shikaayat-e-sitam-e-naaravaa ke baa'd na puchh unhein bhi dekh liyaa aalam-e-nadaamat mein umiid tujh se bhi TuuTi to kyaa huaa ai dost miri to yuun hi guzarti hai yaas-o-hasrat mein chubhaa jo paanv mein kaanTaa to sair bhuul gayaa baDe tapaak se aaya thaa baagh-e-ulfat mein yahin pe khatm nahin silsila jafaaon kaa abhi to aur sitam sahne hain mohabbat mein labon pe aah khalish dil mein aankh mein aansu kis ehtimaam se jiinaa paDaa mohabbat mein ab ehtiyaat se is gul ki baat kar 'naazim' gae vo din ki zamaana thaa khvaab-e-ghaflat mein"
Nazim SultanpuriNazim Sultanpuri
Quote
"kahaan kisi ko hosh thaa kahaan kisi mein taab thi tiri nazar se anjuman ki anjuman kharaab thi adaa adaa bahaar thi nazar nazar sharaab thi kisi ki garmi-e-shabaab garmi-e-shabaab thi kisi ko is kaa ilm kyaa kisi ko is ki kyaa khabar ki meri zindagi bhi ek zindagi kaa khvaab thi baDe qalaq ki baat hai ki tum na us ko paDh sake hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi vo sab kahaaniyaan to thiin mire hi dil ki bazm mein tumhaari chashm-e-surmagin na jaane kyon pur-aab thi hayaat-e-baa-muraad par ye tabsire bajaa sahi magar vo zindagi ki jis ki har talab saraab thi"
Nazim SultanpuriNazim Sultanpuri
Quote
"jis sukut-e-mustaqil par tujh ko itnaa naaz hai be-khabar vo bhi to rusvaai kaa ik andaaz hai aap ise harf-e-junun samjhein ki harf-e-aagahi ye bahar-surat shuur-e-dard ki aavaaz hai kitne zakhmon kaa bharam ik be-zabaani ki adaa kitni aavaazon kaa parda ik sukut-e-naaz hai lab hi lab ki bhiiD hai mai-khaana-e-hasti mein aaj tishnagi hi tishnagi ab vaqt ki aavaaz hai tum ko hotaa hai jo kaanTon par bhi phulon kaa gumaan vo bhi shaaista-nigaahi kaa miri eajaaz hai kyaa khabar kab chhin le mujh se tire gham ki asaas in dinon kuchh jaarehaana vaqt kaa andaaz hai is tarah lipTi hai dil se teri yaadon ki lakir jaise ye bhi raushni-e-zindagi kaa raaz hai jis ne divaana banaa rakkhaa hai saare shahr ko vo takallum kaa tire sanbhlaa huaa andaaz hai ban paDe ai 'naazim'-e-mahzun to chal us ke huzur shahr mein bas ik vahi isaa-nafas dam-saaz hai"
Nazim SultanpuriNazim Sultanpuri