Quote
"gae dinon ke dariche sajaane lagte hain ham apne haal ko maazi banaane lagte hain khulus-o-mehr-o-mohabbat ki qadr khatm hui hayaat-e-nau mein ye sikke puraane lagte hain vo kaun hai jo unhein khelne nahin detaa vo kam-sini mein jo rozi kamaane lagte hain main teri zulf ke saae mein ruk to jaaun magar tire jamaal ke shoale jalaane lagte hain zamaane baad tu aayaa hai lamha bhar to Thahar ki aate-aate ye lamha zamaane lagte hain jinhon ne qaumi tashakhkhus ko paaemaal kiyaa maaashre ko vo unche gharaane lagte hain hamein vo ghair samajhtaa hai to gila kaisaa ki ibtidaa mein ghalat bhi nishaane lagte hain ye ishq-bel kabhi sukhti nahin 'nusrat' visaal-rut mein isi ko fasaane lagte hain"







