SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySabir Zafar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"nazar aate nahin hain bahr mein ham yaani rahte hain apni lahr mein ham khul rahe hain bandhe hue pul se ghul rahe hain khud apne zahr mein ham hai qafas bhi tilism-khaana-e-khvaab aa gae ek aur shahr mein ham kisi zindaan mein sochnaa hai abas dahr ham mein hai yaa ki dahr mein ham ho gai raat so lein kuchh sardaar jaag uTTheinge pichhle pahr mein ham ham hain maqtal mein aur qaatil gham kaise laae gae the qahr mein ham ab jagaaegi yaad us ki 'zafar' chhoD aae jo niind nahr mein ham"
Sabir ZafarSabir Zafar
Quote
"kaam itni hi faqat raahguzar aaegi ham-safar jaaegaa aur yaad-e-safar aaegi duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi main ne sochaa thaa magar ye to nahin sochaa thaa tirgi ruuh ke aangan mein utar aaegi jaagne vaalaa koi soyaa hamesha ke liye ab to maatam hi karegi jo sahar aaegi ik ajab bu-e-nafas aati hai divaaron se aur kuchh roz mein ye bhi na idhar aaegi haae kyaa log the zindaan mein bhi ham se pahle ik din is yaad ki surat bhi bikhar aaegi paDh rahaa huun main 'zafar' us ke bichhaDne ki khabar aur kuchh roz mein apni bhi khabar aaegi"
Sabir ZafarSabir Zafar
Quote
"qismat mein agar judaaiyaan hain phir kyuun tiri yaadein aaiyaan hain yaan jiine ki suratein hain jitni vo suratein sab paraaiyaan hain fariyaad-kunaan nahin bas ik main chaaron hi taraf duhaaiyaan hain har darje pe ishq kar ke dekhaa har darje mein bevafaaiyaan hain ik teraa buraa kabhi na chaahaa go ham mein bahut buraaiyaan hain taqrib-e-visaal-e-yaar hai kyaa kuche mein tire safaaiyaan hain us ne bhi kasar koi koi chhoDi ham ne bhi bahut sunaaiyaan hain ab aur kahin kaa rukh karein aap is jag mein to jag-hansaaiyaan hain kaise karein bandagi 'zafar' vaan bandon ki jahaan khudaaiyaan hain"
Sabir ZafarSabir Zafar
Quote
"vo sadaaein detaa rahaa ho main ne sunaa na ho kahin yuun na ho mujhe lag rahaa ho judaa magar vo judaa na ho kahin yuun na ho nahin koi raaz-e-yagaangi nahin koi saaz-e-fasaangi magar ek saaz-e-fasaana raaz-e-yagaana ho kahin yuun na ho main samajhtaa huun use khush-nasib koi chumtaa hai agar salib ki ye saaz-e-marg hi zindagi kaa taraana ho kahin yuun na ho main diyaa-salaai ki raushni mein talaash kartaa rahaa tumhein magar apnaa maqsad andheri raat bataanaa ho kahin yuun na ho main tumhaare 'ishq mein raat-din jo dikhaai detaa huun mutmain miraa ghar hi sirf luTaa ho dil to luTaa na ho kahin yuun na ho vo shumaar-e-maah-o-nujum ho ki khumaar-e-tark-e-rusum ho koi baar soch bichaar hi kaa paDaa na ho kahin yuun na ho kisi honT se koi ras mile koi dam farishta-nafas mile vo milaa bhi ho to mujhe dobaara milaa na ho kahin yuun na ho tire paanv chhuti vo saaatein vo taghayyuraat ki sabqatein kisi pul kaa jaise kahin bhi koi siraa na ho kahin yuun na ho jo hai apne rang mein sandali jo hai apne lams mein makhmali miri khalvaton ko usi ne jaise lubhaanaa ho kahin yuun na ho vo asaas-e-azm se aashnaa vo libaas-e-nazm se runumaa kisi qaafiye yaa radif se vo khulaa na ho kahin yuun na ho koi aabshaar na aab-e-ju kisi aur lahar ki aarzu miri pyaas bujhne kaa aur koi Thikaanaa ho kahin yuun na ho kahin yuun na ho koi pul-siraat ke paar ho miraa muntazir magar us ko jaa ke udhar talaash kiyaa na ho kahin yuun na ho kisi 'iid par yaa basant par vo milegaa 'umr ke ant par main ye sochtaa huun ki ye bhi koi bahaana ho kahin yuun na ho vo ufuq ba-nafsi jo kho chukaa koi aaftaab jo so chukaa unhein ranj mere akele-pan kaa rahaa na ho kahin yuun na ho mujhe naaz apne khayaal par mujhe naaz us ke jamaal par main samajh rahaa huun jise nayaa vo nayaa na ho kahin yuun na ho mire dil ke diin ko bech kar koi le gayaa mujhe khinch kar mire ang ang mein apnaa rang jamaanaa ho kahin yuun na ho yahi ham-qadam ki hain laghzish yahi zer-o-bam ki hain larzishein jise bhulnaa na ho vo hi yaad rahaa na ho kahin yuun na ho koi sho'la saa jo bhaDak uThaa koi dard saa jo chamak uThaa mare dard dil kaa ye aariza bhi puraanaa ho kahin yuun na ho main diye jalaaun munDer par ki zarur aaegaa vo idhar isi shaam vo kisi aur samt ravaana ho kahin yuun na ho kabhi surmai kabhi aatishi kabhi nuqrai kabhi kaasni kisi ek rang mein rah ke ji hi lagaanaa ho kahin yuun na ho kisi farsh-o-arsh mein kuchh nahin main jhukaa rahaa huun yunhi jabin jise DhunDun mein vo qadam hi us ne rakhaa na ho kahin yuun na ho hamein sar-kashi se muqaddaron ko badalnaa aayaa nahin abhi magar aisaa karnaa mohabbaton mein ridaa na ho kahin yuun na ho jo thi kal vo aaj hai zindagi abhi laa-'ilaaj hai zindagi ki masih-e-asr ke paas us ki davaa na ho kahin yuun na ho vo musavviri hui shaa'iri kisi kaam aae ye saahiri dil-e-paak-baaz bhi mah-rukhon kaa divaana ho kahin yuun na ho shab-e-vasl jalva-e-tur saa vo badan chamaktaa thaa nuur saa koi laa-zavaal vafur-e-rang-e-shabaana ho kahin yuun na ho main kahaan se laaun vo zindagi jo saraasar us ki ho bandagi miri ruuh ki jo talab hai us ki razaa na ho kahin yuun na ho miraa aakhirat pe to hai yaqin kahin zahr ho na ye angbin main haqiqat us ko samajh luun aur vo fasaana ho kahin yuun na ho ye satiza-kaari na ho shuru' hai kahaan ghurub kahaan tulua jo tiraa zamaana ho vo hi miraa zamaana ho kahin yuun na ho main guzar ke aayaa huun qabr se ki 'ilaaqa rakhtaa huun sabr se miri ruuh mein koi iztiraab-e-fanaa na ho kahin yuun na ho ye gurez to zaraa kam karo miri kaaenaat mein ram karo sau garm karo ki dobaara par ye khalaa na ho kahin yuun na ho na suhaag-raat chamak saki yunhi kasmasaate sahar hui koi diip gum-shuda thaaliyon mein jalaanaa ho kahin yuun na ho mujhe us ki shakl dikhaai de na hi apni shakl dikhaai de miraa aaina mire shishagar ki 'ataa na ho kahin yuun na ho mujhi tira-bakht ki baat hai ki ye vaqt vaqt ki baat hai jise yaad kar ke jiyun usi ko bhulaanaa ho kahin yuun na ho jo hai mere dil kaa mu'aamla jo hai nazm-e-dahr se maavaraa kahin us ke vaaste harf-e-kun hi kahaa na ho kahin yuun na ho vo barahnagi kaa qasida kahte hue idhar nikal aayaa thaa magar us ki aankhon mein satr-posh hayaa na ho kahin yuun na ho na vo yaar thaa na vo daashta mein kahaan panaah taraashtaa mujhe le ke dil miraa dar-ba-dar hi phiraa na ho kahin yuun na ho sar-e-raah siina nikaaltaa huaa aayaa thaa jo vo khush-nigaah dil-ishq-khu ko vo par ghurur lagaa na ho kahin yuun na ho ho 'abas yahaan use dekhnaa ho 'abas yahaan use DhunDhnaa miraa yaar mere baghair ji hi sakaa na ho kahin yuun na ho vo khayaal khol ke dekhnaa vo savaal taul ke dekhnaa ki samajh rahe ho jise khafaa vo khafaa na ho kahin yuun na ho miri zindagi tiri bandagi se judaa nahin kabhi ghaur kar mare ijtihaad pe tu ne ghaur kiyaa na ho kahin yuun na ho isi vaaste abhi zindagi huun ki tumhaaraa chehra hai saamne koi aur shakhs miri nazar mein jachaa na ho kahin yuun na ho vo koi daghaa koi maa'rka vo shujaaatein aur muhaasara vo koi qadim rajaz sunaa hi gayaa na ho kahin yuun na ho jo aziiz jaan se hai kaafira use zeb de na munaafira ye nahin baiid ki us ko paas-e-vafaa na ho kahin yuun na ho tiraa husn asiir na kar sakaa na main tere vaaste mar sakaa kahin meraa saath mire khudaa ne diyaa na ho kahin yuun na ho koi hijrati gham-e-dahr mein ho ravaan-davaan kisi lahar mein koi rah rahaa thaa jahaan vahaan vo rahaa na ho kahin yuun na ho vo qurun-e-asl ki saaatein vo junun-e-vasl ki raahatein mire vaaste hon mujhe pata hi chalaa na ho kahin yuun na ho kisi aur ke liye ho chhupaa ke hansi vo us ne rakhi hui 'zafar' ik mujhi ko hamesha khuun rulaanaa ho kahin yuun na ho"
Sabir ZafarSabir Zafar
Quote
"mahsus lams jis kaa sar-e-rah-guzar kiyaa saayaa thaa vo usi kaa jise ham-safar kiyaa kuchh be-Thikaana karti rahin hijratein mudaam kuchh meri vahshaton ne mujhe dar-ba-dar kiyaa rahnaa nahin thaa saath kisi ke magar rahe karnaa nahin thaa yaad kisi ko magar kiyaa tu aaina bhi aap thaa aur aks bhi thaa aap tere jamaal hi ne tujhe khush-nazar kiyaa vo jis Dagar milegaa vahin mar miTungaa main tum dekhnaa safar kaa iraada agar kiyaa jab zindagi guzaar di aayaa hai tab khayaal kyuun us kaa intizaar 'zafar' umr bhar kiyaa"
Sabir ZafarSabir Zafar
Quote
"nazar se duur hain dil se judaa na ham hain na tum gila karein bhi to kyaa be-vafaa na ham hain na tum ham ik varaq pe to hain do huruf ki surat magar nasib kaa likkhaa huaa na ham hain na tum hamaari zindagi parchhaaiyon ki khaamoshi qarib laati hai jo vo sadaa na ham hain na tum ham ek saath hain jab se ye rog hain tab se kisi bhi rog ki lekin davaa na ham hain na tum hamaare jism hain paani pe jaise tasvirein bikharte rangon ke dukh kaa sila na ham hain na tum duhaaiyaan jo nahin dein 'zafar' sitam sah kar samajh rahi hai ye duniyaa khafaa na ham hain na tum"
Sabir ZafarSabir Zafar
Quote
"nae kapDe badal aur baal banaa tire chaahne vaale aur bhi hain koi chhoD gayaa ye shahr to kyaa tire chaahne vaale aur bhi hain kai palkein hain aur peD kai mahfuz hai ThanDak jin ki abhi kahin duur na jaa mat khaak uDaa tire chaahne vaale aur bhi hain kahti hai ye shaam ki narm havaa phir mahkegi is ghar ki fazaa nayaa kamra sajaa nai shama jalaa tire chaahne vaale aur bhi hain kai phulon jaise log bhi hain inhi aise-vaise logon mein tu ghairon ke mat naaz uThaa tire chaahne vaale aur bhi hain bechain hai kyuun ai 'naasir' tu behaal hai kis ki khaatir tu palkein to uThaa chehra to dikhaa tire chaahne vaale aur bhi hain"
Sabir ZafarSabir Zafar
Quote
"ab kahin aur kahaan khaak-basar hon tire bande jaa kar zindagi aur bhi maghmum lage shahr se aage jaa kar adam-aabaad ke logon kaa mizaaj in dinon kaisaa hogaa lauT aane ki tavaqqoa ho kisi ko to vo puchhe jaa kar main ghanaa peD huun aayaa bhi kabhi jo mire saae ko zavaal in khizaaon se bahut duur gireinge mire patte jaa kar kaT bhi sakte hain shab o roz mire in hi gali kuchon mein lauTnaa hai tiri jaanib hi agar tere nagar se jaa kar shaaeri phuul khilaane ke sivaa kuchh bhi nahin hai to 'zafar' baagh hi koi lagaataa ki jahaan khelte bachche jaa kar"
Sabir ZafarSabir Zafar
Quote
"tanhaai taamir karegi ghar se behtar ik zindaan baam-o-dar nahin honge lekin hogaa jiine kaa saamaan kisi khayaal ki sarshaari mein jaari-o-saari yaari mein apne-aap koi aaegaa aur ban jaaegaa mehmaan jivan paikar dhul jaaeinge jis mein gunaah o savaab samet aansu paidaa kar hi deinge aisi baarish kaa imkaan ashkon ki bundaa-baandi mein qaus-e-quzah ke rangon se ik aisi tasvir bani hai saari duniyaa hai hairaan hairaani zanjir karegi har pal nai kahaani ko aur 'zafar' sab kirdaaron mein ik din paD jaaegi jaan"
Sabir ZafarSabir Zafar
Quote
"misaal-e-sang paDaa kab tak intizaar karun pighalne mein jo ravaani hai ikhtiyaar karun khabar nahin vahaan tu kaun se libaas mein ho main kaise aalam-e-pinhaan ko aashkaar karun ba-rang-e-mauja-e-khushbu uDaa uDaa phire tu main apne qurb se kyuun tujh ko zer-e-baar karun main dekhtaa huun use kaise kaise rangon mein kashid-e-rang karun aur baar baar karun vo ek baar bhi mujh se nazar milaae agar to main use bhi koi mehrbaan shumaar karun jo tu gayaa hai to main bhi chalaa gayaa goyaa aur ab bhi dasht-e-tahayyur mein khud ko khaar karun yunhi to main 'zafar' is haal ko nahin pahunchaa fareb de jo mujhe us pe e'tibaar karun"
Sabir ZafarSabir Zafar
Quote
"kisi taur ho na pinhaan tiraa rang-e-ru-siyaahi vo sab aankhein bujh chuki hain ki jo dein miri gavaahi ho nasib har kisi ko kahaan manzil-e-mohabbat ki ujaDti jaaein raahein ki bikharte jaaein raahi tire nuur par fidaa huun magar is qadar fidaa huun mujhe dekh hi na paae ye jahaan ki kam-nigaahi main jo aah bhar rahaa huun tujhe yaad kar rahaa huun ki tire baghair main ne kabhi zindagi na chaahi koi yaad ham-nafas ho jo mire liye qafas ho ki azal se jis tarah hai ye jahaan-e-aab-o-maahi yahi zindagi gulistaan yahi zindagi hai zindaan isi zindagi se main ne yunhi dosti nibaahi sar-e-shaam luT chukaa huun sar-e-aam luT chukaa huun ki Dakait ban chuke hain kai shahr ke sipaahi"
Sabir ZafarSabir Zafar
Quote
"vaaqif khud apni chashm-e-gurezaan se kaun hai maanus ab mire dil-e-viraan se kaun hai kis ko khabar hai kis ghaDi aankhein chhalak paDein ab aashnaa tahayya-e-tufaan se kaun hai dekhein jise khalal hai usi ke dimaagh mein sarshaar ab tasavvur-e-jaanaan se kaun hai vo zulm shahr mein hai ki andher hai koi vaabasta rasm-e-jashn-e-charaaghaan se kaun hai dekho jise vahi hai giraftaar-e-aarzu ab duur is navaah mein zindaan se kaun hai maqtal mein jis ko apne lahu se jalaayaa thaa pur-nur us ek sham-e-farozaan se kaun hai chehron ki zardiyon se 'zafar' ho muvaazana nazdik rang-e-dasht-o-bayaabaan se kaun hai"
Sabir ZafarSabir Zafar