SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySada Ambalvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jis ko dekhe binaa qaraar nahin kaise kah dein ki us se pyaar nahin rukh pe tere agar nikhaar nahin tu bahaar ai sanam bahaar nahin is mein sud-o-ziyaan kaa kar na hisaab ishq ibaadat hai kaarobaar nahin rok lo tum se gar ye ruktaa hai dil pe meraa to ikhtiyaar nahin go musibat mein sab nadaarad the varna ishrat mein kaun yaar nahin kyon na ji-bhar ke ro liyaa jaae paas jab koi gham-gusaar nahin chup rahun kaise tak ke zulm-o-sitam aadmi huun koi mazaar nahin haajatein hain gini-chuni sab ki hasraton kaa koi shumaar nahin kyaa yaqin ahd-e-vasl kaa ai 'sadaa' ziist kaa hi jab eatibaar nahin"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"be-qaraari jo idhar hai vo udhar hai ki nahin ye nazar jaise hai be-kal vo nazar hai ki nahin dil ki haalat kaa bigaDnaa to hai maamul magar vo jo hain is kaa sabab un ko khabar hai ki nahin go nigaahon se nigaahein to mili hain aksar rabt us dil ko kuchh is dil se magar hai ki nahin ye shab-e-hijr miri jaan hi na le jaae kahin na sahi vasl muqaddar mein sahar hai ki nahin kyon miri ruuh ko har pal ye gumaan rahtaa hai jis makaan mein hai makin us kaa hi ghar hai ki nahin dost chhoD aaeinge be-shak mujhe shamshaan talak us ke aage nahin maalum safar hai ki nahin 'aarifo kyaa hai majaaz aur haqiqat kyaa hai vo jo aataa hai nigaahon ko nazar hai ki nahin paDh ke divaan-e-'sadaa' bolo zaraa naqqaado sher kahne kaa kuchh us mein bhi hunar hai ki nahin"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"tiri mahfil mein kyaa kyaa ai gul-e-gulfaam miltaa hai kisi ko ashk milte hain kisi ko jaam miltaa hai na puchh ai saaqiyaa ham ko tujhe mil kar hai kyaa miltaa nazar ko raushni dil ko baDaa aaraam miltaa hai jise hai muddaton DhunDaa haram mein zaahido tum ne hamein to mai-kade mein vo khudaa har shaam miltaa hai mile momin ko masjid mein na bhakton ko shivaale mein tiri mahfil mein mai-khaaron ko jo ikraam miltaa hai shikasta hi sahi ye dil khare sone kaa hai saaqi buraa kyaa hai zaraa socho agar be-daam miltaa hai ye baazi hai mohabbat ki usuul is ke niraale hain yahaan jo haar jaataa hai use in'aam miltaa hai"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"shahr mein milte hain mushkil se kahin chaar kaandhe bhi uThaane ke liye gaanv mein gaanv kaa gaanv aataa hai saath shamshaan ko jaane ke liye gaanv lauTaa na dulaaraa maan kaa kar ke taa'lim mukammal apni khet sab rakh diye girvi apne baap ne jis ko paDhaane ke liye inT-patthar ki imaarat kaa kyaa kuchh hi din mein hai khaDi ho jaati 'umr lag jaati hai lekin yaaro ghar ko ghar jaisaa banaane ke liye shahr mein amn bahaali ke liye aaj Tv pe hai ki jis ne appeal kal usi ne to ishaara thaa kiyaa aag basti mein lagaane ke liye dosti gar nahin mumkin na sahi dushmani kis liye paali jaae dil se dil milnaa zaruri to nahin haath se haath milaane ke liye dekhnaa vo bhi na luT jaae kahin chor jo chhoD gae hain baaqi ai 'sadaa' soch ke jaanaa to zaraa rapaT thaane mein likhaane ke liye"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"gulshan-gulshan zikr hai un kaa mahfil-mahfil charchaa hai jab se shahr mein aae hain vo hangaama saa barpaa hai aankhein jaise gul nargis ke chaal ghazaalon jaisi hai chehra dekh ke sochaa sab ne chaand zamin par utraa hai phiki hai muskaan kali ki un ke tabassum ke aage komal komal se gaalon kaa rang shafaq se gahraa hai sab se sundar lagti hai vo jo naadida surat hai har ik aankh Tiki hai us par jis chehre par pardaa hai bholi-bhaali sab se nyaari suratiyaa vo pyaari pyaari aankhein tak-tak thak jaati hain lekin dil kab bhartaa hai us ne hi sab dard diye jo Dhal-Dhal kar hain giit bane ik-ik she'r 'sadaa' hai us kaa ik-ik naghma us kaa hai"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"kyaa hai haathon ki lakiron mein bataao na mujhe khvaab se pahle hi taa'bir dikhaao na mujhe khub-tar khvaab se kyaa hogaa koi bhi jalva TuuT jaaein na mire khvaab jagaao na mujhe lo main haT jaataa huun raste se tumhaare yaaro shauq se aage nikal jaao giraao na mujhe sirf sach bol ke ban jaae na suqraat koi mujh se kyaa Dar hai tumhein zahr pilaao na mujhe she'r mere to hain bas harf-e-tasalli ki tarah main masihaa nahin suuli pe chaDhaao na mujhe ab na naghma na koi giit hai baaqi mujh mein be-sadaa saaz huun bekaar bajaao na mujhe"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"dikhaaegi asar dil ki pukaar aahista aahista bajeingge aap ke dil ke bhi taar aahista aahista nikaltaa hai shagaafon se ghubaar aahista aahista thamegi aankh se ashkon ki dhaar aahista aahista rahi mashq-e-sitam jaari agar kuchh din janaab aise mileinge khaak mein sab jaan-nisaar aahista aahista muqaddar us kaa murjhaanaa hi to hai baad khilne ke kali par yaa-khudaa aae nikhaar aahista aahista banaa hai naazim-e-gulshan koi sayyaad ab shaayad parinde ho rahe hain sab faraar aahista aahista mohabbat ke marizon kaa mudaavaa hai zaraa mushkil utartaa hai 'sadaa' un kaa bukhaar aahista aahista"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"kuchh to bol ai 'sadaa' huaa kyaa hai dil jo thaamaa hai maajraa kyaa hai but hain ruThe khum-o-subu chhuTe ab khudaa ko tu DhunDhtaa kyaa hai dil ye TuuTaa hai sau dafa yaaro haadisa aaj kuchh nayaa kyaa hai ek hi dar se jab mile sab kuchh haath phailaataa jaa-ba-jaa kyaa hai dil to patthar se sakht hai teraa phir ye chehra gulaab saa kyaa hai ik nazar khaaksaar par bhi ho jaataa kuchh bhi janaab kaa kyaa hai sher kahtaa hai khuub tu varna teri auqaat ai 'sadaa' kyaa hai"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"haar mein phans ke laTakne mein mazaa kyaa hai bataa ban ke moti tujhe ai buund milaa kyaa hai bataa jitnaa unchaa huaa utnaa hi akelaa bhi huaa tere rutbe ne tujhe dost diyaa kyaa hai bataa ab ki jab achchhon ki sohbat mein hai tu rah aayaa jin ko samjhaa thaa buraa un mein buraa kyaa hai bataa bure kaa karte bhalaa tum to koi baat bhi thi bure ke saath buraa ban ke milaa kyaa hai bataa in gharibon kaa muqaddar hai kisi aur ke haath in ke haathon mein lakiron ke sivaa kyaa hai bataa na ye vaaqif tiri tahzib na boli se 'sadaa' tu ne bachchon ko viraasat mein diyaa kyaa hai bataa"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"haq ki hai gar talaash to ye maan kar chalo ab tak paDhaa sunaa hai jo shaayad sahi na ho vo ilm jis se zauq-e-tajassus ki maut ho us ilm se to achchhaa hai laa-ilm hi raho har baat hai kitaab ki vaaiz mujhe qubul tasdiq us ki bas zaraa dil se mire bhi ho mazhab to shaikh ham ko viraasat mein hai milaa tahqiq kar ke kitnon ne khud hai chunaa kaho jis par kiyaa hai ham ne yaqin aankh muund ke mumkin hai raah-e-haq se vo khud-aashnaa na ho har sher ai 'sadaa' tiraa ho taazgi bharaa vo baat kah jo pahle kisi ne kahi na ho"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"kyon milaate ho sar-e-raah sar-e-aam aankhein be-sabab shahr mein ho jaaeingi badnaam aankhein dil-e-betaab ke kahne pe khataa karti hain aur le leti hain sar apne pe ilzaam aankhein aankhon aankhon mein lagaa daav pe sab kuchh apnaa ab ye Dar lagtaa hai ho jaaein na naakaam aankhein dekhne baiThin jo us ghuncha-badan kaa chehra phir to bas bhuul gaiin dusre sab kaam aankhein ab ki jab kuchh bhi nahin dekhne laaiq baaqi mujh mein kyaa DhunD rahi hain ye siyah-faam aankhein kaun thi kaun 'sadaa' nargisi aankhon vaali yaad kar ke jise nam hoti hain har shaam aankhein"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"tu sukhanvar hai to kar haq se vafaa harf-ba-harf farz shaa'ir kaa sadaaqat se nibhaa harf-ba-harf DhunD aflaak nae aur zaminein bhi nai ho ghazal kaa tiri har she'r nayaa harf-ba-harf naqsh ko lafz mein manzar ko ibaarat mein badal phir jo dekhaa tiri aankhon ne dikhaa harf-ba-harf lailaa majnun ke fasaane ke bahaane hi sahi apni rudaad zamaane ko sunaa harf-ba-harf rang-o-alfaaz mein jurat kahaan jo khinchein sanam hu-ba-hu teri chhaTaa teri adaa harf-ba-harf she'r mein yuun hi nahin rang-e-taghazzul aayaa khun-e-dil se ise sinchaa hai gayaa harf-ba-harf ham nahin vo jo tarannum ko sukhan kahte hain ham ne har she'r mein maa'ni hai bharaa harf-ba-harf shaikh achchhaa huaa tu haafiz-e-quraan huaa ab ik aayat pe amal kar ke dikhaa harf-ba-harf kar buland apni sadaa haq mein gharibon ke 'sadaa' aur utar apne takhallus pe kharaa harf-ba-harf"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"kaam paDaa yaad aaya maulaa hai ye tarz-e-ibaadat kaisi nisbat jis ko maulaa se ho us ko haajat-vaajat kaisi jab dil mein nahin masjud tire sab sajde hain be-sud tire maa'bud basaa ho dil mein to sajde ki hai zahmat kaisi chaahe gar tu us ki rahmat kar us ke bandon ki khidmat khilqat se hai nafrat gar to khaaliq se hai raghbat kaisi baat tiri ke ham ai vaa'iz ho na sakeinge qaail hargiz duniyaa hi jab chhoD chuke ho jannat ki phir hasrat kaisi mat bandon se kuchh maang bashar bande to hain aap gadaagar tu maulaa ki bas kar 'ibaadat bandon ki hai itaaat kaisi maalik bhi vo raaziq bhi vo saare jag kaa khaaliq bhi vo us par hai teraa takiya 'sadaa' phir ye fikr-e-uqubat kaisi"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"log kahein divaanaa tujh ko tu samjhe tu daanaa hai yaa to 'sadaa' tu paagal hai yaa duniyaa paagal-khaana hai khud chaahe samjhein na samjhein auron ko samjhaanaa hai baanT rahaa hai gyaan jagat ko khud se jo an-jaanaa hai mandir masjid donon mein se kuchh bhi chunnaa mushkil thaa shukr khudaa kaa mai-khvaaron ne DhunDh liyaa mai-khaana hai jag hai maayaa-jaal piyaare kah gae piir faqir guru ye dhokaa par baari baari har bande ko khaanaa hai kis ko kosein kis ko roein har jug mein hai huaa yahi sach ko suuli jhuuT ko jhumar ye dastur puraanaa hai court kachahri mein kyaa hogaa kaun likhegaa rapaT yahaan jis ne qatl karaayaa us kaa haakim se yaaraana hai sab ko yahaan insaaf milegaa ik din duniyaa sudhregi soch-soch kar aisaa hi bas ham ko ji bahlaanaa hai shor machaane se logon ki badlegi kyaa raae 'sadaa' aaj talak kisi paagal ne kyaa khud ko paagal maanaa hai"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"ab tak to thaa niyat pe ab shak hai liyaaqat pe kaafi hai ye ik misra' qaaid ki qayaadat pe voTon ke liye dange ab 'aam rivaayat hai gar ye hai siyaasat to laa'nat hai siyaasat pe ye kaaTh ki haanDi ko phir phir hain chaDhaa lete hairaan hai jahaan in ki is fan mein mahaarat pe kyaa khuub qavaaid hain ye amn-bahaali ke aazaad hai nafrat aur pahre hain mohabbat pe ghaDiyaal ke aansu ye kyaa khuub bahaate hain dahqaan ki ghurbat pe mazdur ki haalat pe ye ahl-e-siyaasat sab, bas un ke piyaade hain qaabiz hain jo kuchh kunbe kul mulk ki daulat pe sadiyon ki ghulaami kaa shaayad hai asar baaqi bajti hai yahaan taali haakim ki himaaqat pe har fatvaa-e-mufti mein thaa dakhl-e-shah-e-dauraan kyon aaj uThaate ho angusht adaalat pe sar sharm se jhuktaa hai afgaar hai dil hotaa hoti hai siyaasat jab afsos shahaadat pe rahbar hai 'sadaa' kaun ab kuchh aas karein jis se ik bhi to nahin chaltaa ab raah-e-sadaaqat pe"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"zavaal-e-ghairat-e-ahl-e-sharaf pe kyaa kahiye chali hai rasm ki firaun ko khudaa kahiye fughaan-e-murgh ko naaqus ki sadaa kahiye uThe chaman se dhuaan to use ghaTaa kahiye har ik himaaqat-e-haakim pe vaah-vaa kahiye vo laakh jhuTh kahe aap marhabaa kahiye bachein vabaa se to haakim ko shukriya kahiye marein vabaa se to allah ki thi razaa kahiye kare savaal jo haakim se hai adu-e-vatan kahe jo jhuTh ko jhuTh us ko kaj-adaa kahiye qatil hizb-e-mukhaalif se ho to us par hi lagaa ke tohmatein, qaatil ko marhabaa kahiye ye vaqt hai baDaa naazuk zaraa sanbhal ke 'sadaa' hai khair isi mein ki rahzan ko rahnumaa kahiye"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"chhuptaa nahin naqaab mein jalva shabaab kaa nikle hai chhan ke taaron se nuur aaftaab kaa kuchh dil se apne puchh ke vaa'iz hamein bataa yuun baar-baar de na havaala kitaab kaa kausar ke saath-saath hai tasnim bhi vahin naqsha to khuub khinchaa hai vaa'iz saraab kaa kab tak mareinge aas mein insaaf ki bashar kyon muntazir hai maulaa tu roz-e-hisaab kaa aaghaaz-e-kaaenaat ki thi jis mein daastaan lagtaa hai phaT gayaa hai vo pannaa kitaab kaa kuchh apnaa ird-gird badal kar dikhaa 'sadaa' naahaq paDhaa na sab ko sabaq inqalaab kaa"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"hasti miTaa kar apni jab ik buund saagar mein giri kuchh ne kahaa ye vasl hai kuchh ne kahaa ye khud-kushi bundein do barsin saath hi qismat par apni apni thi ik ain saagar mein giri ik ret mein gum ho gai saagar kinaare baiTh kar ham ne kiyaa mahsus ye saagar huun main saagar huun main har buund hai ye kah rahi hai kaun jo is raaz se ham ko karaae aashnaa saagar hai bundon se huaa yaa buund saagar se hui ik diip ki lau se bhale laakhon jalaao diip tum ik til kisi bhi diip ki ghaTti nahin hai raushni daulat ajab hai ye baDi baDhti hai jo bas baanT kar rahnaa agar hai khush tumhein baanTo sadaa sab ko khushi ab kyaa bataaein ai 'sadaa' kyaa hai haqiqat kyaa majaaz parde mein apni khalq ke khaaliq chhupaa hai aap bhi"
Sada AmbalviSada Ambalvi
Quote
"patta patta kyon hai dil afgaar is gulzaar kaa gul se gul barham hai kyon kyaa hai sabab takraar kaa sahme sahme se hain kyon sab ghuncha-o-gul-barg aaj kis ne chhinaa hai gulon ke lab se haq izhaar kaa zahr ko di chhuT kis ne phailne ki har taraf khushbuon par kyon kaDaa pahraa hai pahre-daar kaa bulbulein hai be-suri khabrein ye kis ne hain gaDhi kis ne kavve ko diyaa hai martaba fankaar kaa kaun hai jis ne andheron ko diyaa hai ikhtiyaar rok lo puuri tarah se raasta anvaar kaa gul khilaane kaa saliqa to use aayaa nahin naam gul hai rakh diyaa bas baaghbaan ne khaar kaa baj rahaa har bazm mein ab raag darbaari faqat kis ki jurat hai ki gaae raag ab malhaar kaa kyon hamein un se tavaqqo' thi chaman-bandi ki uff vo jinhein bas tajraba thaa ghaarat-e-gulzaar kaa ho rahi hai baarish-e-ikraam baatil par mudaam aur 'ataa haq ko huaa hai ab laqab ghaddaar kaa dhans rahaa hai aur bhi ghurbat mein har ghurbat-zada aur musalsal baDh rahaa hai maal-o-zar zar-daar kaa khel chaltaa hai siyaasat kaa usi ke zar se jab kyon na ho sarkaar mein phir dakhl saahukaar kaa kaam-dhande to paDe hain sab ke sab Thap aaj-kal garm hai baazaar bas nafrat ke kaarobaar kaa sar jhukaanaa mat kabhi zulm-o-sitam ke saamne hai 'sadaa' kaandhe pe tere sar agar sardaar kaa"
Sada AmbalviSada Ambalvi