SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byShahram Sarmadi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mujhe taslim be-chun-o-churaa tu haq-ba-jaanib thaa mire anfaas par lekin 'ajab pindaar ghaalib thaa vagarna jo huaa us se sivaae ranj kyaa haasil magar haan maslahat ki rau se dekhein to munaasib thaa main tere baa'd jis se bhi milaa tikhaa rakhaa lahja ki is be-laus chaahat ke 'evaz itnaa to vaajib thaa main kuchh puchhun bhi to aksar javaaban kuchh nahin kahtaa guzishta ek 'arse se jo bas mujh se mukhaatib thaa main umr-e-rafta ki baazi se itnaa hi samajhtaa huun shikast o fath do harf-e-izaafi khel jaalib thaa"
Shahram SarmadiShahram Sarmadi
Quote
"samundar tishnagi vahshat rasaai chashma-e-lab tak ye saaraa khel in aankhon se dekhaa tere kartab tak tamaasha-gaah-e-duniyaa mein tamaashaai rahe ham bhi sahar ki aarzu ham ne bhi ki thi jalva-e-shab tak na jaane vaqt kaa kyaa faisla hai der kitni hai ghaDi ki suiyaan bhi ho chuki hain muzmahil ab tak kabhi fursat mili to aasmaan se ham ye puchheinge rahegaa tu hamaare sar pe yuun hi mehrbaan kab tak khudaa jaane kahaan tak kaamyaabi haath aai hai ki apni baat to pahunchaa chukaa apne mukhaatab tak"
Shahram SarmadiShahram Sarmadi
Quote
"yaad ki basti kaa yuun to har makaan khaali huaa bas gayaa thaa jo khalaa saa vo kahaan khaali huaa raat bhar ik aag si jalti rahi thi aankh mein aur phir din bhar musalsal ik dhuaan khaali huaa khud-ba-khud ik dasht ne tashkil paai aur phir lamha bhar mein ek shahr-e-be-karaan khaali huaa aaj jab us lutf-e-saaya ki zarurat thi hamein kam-nasibi ye ki dast-e-mehrbaan khaali huaa rafta rafta bhar gayaa har suud se apnaa bhi ji rafta rafta dil se ehsaas-e-ziyaan khaali huaa aaj se ham bhi akele ho gae is bhiiD mein dhyaan mein thaa jo bharaa saa aasmaan khaali huaa"
Shahram SarmadiShahram Sarmadi
Quote
"khalaa saa Thahraa huaa hai ye chaar-su kaisaa ujaaD ho gayaa ik shahr-e-rang-o-bu kaisaa tamaam halqa-e-khvaab-o-khayaal hairaan hai savaad-e-chashm mein aayaa ye maah-ru kaisaa kabhi jo fursat-e-yak-lamha bhi mile to dekh ki dasht-e-yaad mein bikhraa paDaa hai tu kaisaa agarche shora hi shora sab ilaaqa-e-dil tujhe rakkhaa hai magar sabz o pur-numu kaisaa saraa-e-dil mein kai din se shaam hote hi dhuaan saa phailne lagtaa hai ku-ba-ku kaisaa zaraa jo sochein to ye masala bhi hal ho jaae ki honaa chaahiye ab rang-e-aarzu kaisaa"
Shahram SarmadiShahram Sarmadi
Quote
"nasib-e-chashm mein likkhaa hai gar paani nahin honaa to kyaa ye tai hai ab ranj-e-pashemaani nahin honaa sakun se jaa lagegi dil ki kashti apne saahil se ki is barsaat mein dariyaa ko tufaani nahin honaa sabhi kuchh tai-shuda maa'muli jaisaa hone vaalaa hai kisi bhi vaaqa'e ko vajh-e-hairaani nahin honaa junun mein mumkina had tak rahegaa hosh bhi shaamil miri jaan be-zarurat kaar-e-naadaani nahin honaa hamin un khush-nasibon mein se hain, jin ke nasibon mein khudaa ne saaf likkhaa hai pareshaani nahin honaa"
Shahram SarmadiShahram Sarmadi
Quote
"inaayat hai tiri bas ek ehsaan aur itnaa kar mire is dard ki miaad mein bhi kuchh izaafa kar gumaan se bhi ziyaada chaahiye sarsabz kisht-e-jaan faqat pichhle pahar kyaa har pahar ai aankh barsaa kar to phir ikraam kyaa shai hai jo tanhaai mein tanhaa huun koi mahfil ataa kar qaaede ki us mein tanhaa kar nafas ki aamad-o-shud ruk na jaae peshtar is se zamin ko aur nichaa aasmaan ko aur unchaa kar bahut mumkin hai meri baatein be-maani lagein tujh ko inhein majzub ki baD jaan aur chup-chaap sochaa kar"
Shahram SarmadiShahram Sarmadi
Quote
"un dinon kaa zikr hai jab us ko dekhaa bhi na thaa zehn mein vaazeh koi harf-e-tamannaa bhi na thaa ab magar vo dil ke qarye qarye mein aabaad hai haan guzishta vaqt mein kuchh itnaa pyaaraa bhi na thaa aur aankhein ik 'ajab se nuur se sairaab thiin us kaa chehra haathon mein thaa chaand niklaa bhi na thaa is qadar sarshaar the ham pyaar ke ehsaas mein tai hui kab vasl-manzil dhyaan aayaa bhi na thaa aaj sochun to koi ik khvaab saa lagti hai vo us se milnaa baatein karnaa khvaab aisaa bhi na thaa"
Shahram SarmadiShahram Sarmadi
Quote
"hukmaraan jab se huiin basti pe afvaahein vahaan din Dhale hi bain karti hain ajab raatein vahaan ik ghurub-e-be-nishaan ki samt raste par huun main khauf ye darpesh hongi kaisi duniyaaein vahaan baar-haa dekhi hai un kuchon ne shab-masti miri aaj bhi ik ghar ke baam-o-dar shanaasaa hain vahaan kyaa tujhe mismaari-e-dil ki khabar koi na thi kis liye bhejin na tu ne phir abaabilein vahaan ek dafa tu yahaan aa kar mujhe hairaan kar kyaa zaruri hai ki tujh se milne aauun main vahaan"
Shahram SarmadiShahram Sarmadi
Quote
"main nahin rotaa huun ab ye aankh roti hai mujhe roti hai aur sar se paanv tak bhigoti hai mujhe bad-duaa hai jaane kis ki yaad ki jo har ghaDi har guzishta lamhe se vahshat si hoti hai mujhe mumkina had tak main apni dastaras mein huun magar pichhle kuchh din se koi shai mujh mein khoti hai mujhe mutmain thaa din ke bikhraav se main lekin ye raat daana-daana phir ajab Dhab se piroti hai mujhe main bahut mashshaaq ik tairaak thaa lekin vo aankh dekh ab maa-kashti-e-jaan ke Duboti hai mujhe"
Shahram SarmadiShahram Sarmadi
Quote
"badal jaaegaa sab kuchh ye tamaashaa bhi nahin hogaa nazar aaegaa vo manzar jo sochaa bhi nahin hogaa har ik lamha kisi shai ki kami mahsus bhi hogi kahin bhi duur tak koi khalaa saa bhi nahin hogaa vo aankhein bhi nahin hongi kahein jo an-kahi baatein havaa mein sabz aanchal kaa vo lahraa bhi nahin hogaa simaT jaaegi duniyaa saaat-e-imroz mein ik din shumaar-e-zist mein diroz o fardaa bhi nahin hogaa magar qad roz o shab kaa dekh kar hairaan sab honge madaar apnaa zamin ne garche badlaa bhi nahin hogaa ajab viraaniyaan aabaad hongi qarya-dar-qarya shajar shaakhon pe chiDiyon kaa baseraa bhi nahin hogaa"
Shahram SarmadiShahram Sarmadi