Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ye kyaa ki tum ne jafaa se bhi haath khinch liyaa
miri vafaaon kaa kuchh to sila diyaa hotaa
یہ کیا کہ تم نے جفا سے بھی ہاتھ کھینچ لیا
مری وفاؤں کا کچھ تو صلہ دیا ہوتا
ये क्या कि तुम ने जफ़ा से भी हाथ खींच लिया
मिरी वफ़ाओं का कुछ तो सिला दिया होता

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
gumaan kahtaa hai meraa ki ek din mujh par
tiri vafaa tiri chaahat kaa maan barsegaa
tu jafaaon se jo badnaam kiye jaataa hai
yaad aaegi tujhe meri vafaa mere baad
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
jafaa ki baatein sadaa banaanaa vafaa ki baatein kabhi na karnaa
khudaa ke ghar mein kami nahin hai kiye mein apne kami na karnaa
'ehsaan' aisaa talkh javaab-e-vafaa milaa
ham is ke baa'd phir koi armaan na kar sake
dil ki dharti par vafaa kaa moajiza rakkhaa gayaa
phir dilon ke darmiyaan kyuun faasla rakkhaa gayaa