Shayari
sub.h ye fikr ki ho jaa.e shaam
shaam ko ye ki sahar ho jaa.e
bahr-e-bimaar davaa hai na duaa
kyaa ise chaaragari kahte hain
بہر بیمار دوا ہے نہ دعا
کیا اسے چارہ گری کہتے ہیں
बहर-ए-बीमार दवा है न दुआ
क्या इसे चारागरी कहते हैं

sub.h ye fikr ki ho jaa.e shaam
shaam ko ye ki sahar ho jaa.e
sach to ye hai ki nadaamat hi hui
raaz ki baat kisi se kah ke
koi khush ho ki khafaa ho 'hairat'
ham to har baat khari kahte hain
'hairat' ke gham-kade mein khushi kaa guzar kahaan
aap aa gae to raunaq-e-kaashaana ho gai
ye shabaab-e-husn ye husn-e-shabaab
hashr tak un par yahi aalam rahe
ishq mein ain hunar-mandi hai
sab jise be-hunari kahte hain
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae