Shayari
be-rukhi dekh ab zamaane ki
muddaaa kyuun zabaan se niklaa
ham-nafas khvaab-e-junun ki koi taabir na dekh
raqs karnaa hai to phir paanv ki zanjir na dekh
ہم نفس خواب جنوں کی کوئی تعبیر نہ دیکھ
رقص کرنا ہے تو پھر پاؤں کی زنجیر نہ دیکھ
हम-नफ़स ख़्वाब-ए-जुनूँ की कोई ता'बीर न देख
रक़्स करना है तो फिर पाँव की ज़ंजीर न देख

be-rukhi dekh ab zamaane ki
muddaaa kyuun zabaan se niklaa
dil ne har daur mein duniyaa se baghaavat ki hai
dil se tum rasm-o-rivaayaat ki baatein na karo
logon ko apni fikr hai lekin mujhe nadim
bazm-e-hayaat-o-nazm-e-gulistaan ki fikr hai
vaqt mohlat na degaa phir tum ko
tiir jis dam kamaan se niklaa
kitne be-nur hain ye hangaame
main bhare shahr mein bhi huun tanhaa
intishaar-o-khauf har ik sar mein hai
aafiyat se kaun apne ghar mein hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
aankh kaa e'tibaar kyaa karte
jo bhi dekhaa vo khvaab mein dekhaa
koi baat khvaab-o-khayaal ki jo karo to vaqt kaTegaa ab
hamein mausamon ke mizaaj par koi e'tibaar kahaan rahaa