Shayari
tum apne aks mein kyaa dekhte ho
tumhaaraa aks bhi tum saa nahin hai
samundar paar aa baiThe magar kyaa
nae mulkon mein ban jaate hain ghar kyaa
سمندر پار آ بیٹھے مگر کیا
نئے ملکوں میں بن جاتے ہیں گھر کیا
समुंदर पार आ बैठे मगर क्या
नए मुल्कों में बन जाते हैं घर क्या

tum apne aks mein kyaa dekhte ho
tumhaaraa aks bhi tum saa nahin hai
dekhte ham bhi hain kuchh khvaab magar haae re dil
har nae khvaab ki taabir se Dar jaataa hai
saahil pe log yunhi khaDe dekhte rahe
dariyaa mein ham jo utre to dariyaa utar gayaa
phir nai hijrat koi darpesh hai
khvaab mein ghar dekhnaa achchhaa nahin
aap ke jaate hi ham ko lag gai aavaargi
aap ke jaate hi ham se ghar nahin dekhaa gayaa
ashk Dhalte nahin dekhe jaate
dil pighalte nahin dekhe jaate
hai ajab nizaam zakaat kaa mire mulk mein mire des mein
ise kaaTtaa koi aur hai ise baanTtaa koi aur hai
surur-e-jaan-fazaa deti hai aaghosh-e-vatan sab ko
ki jaise bhi hon bachche maan ko pyaare ek jaise hain
kaun mar kar dobaara zinda huaa
kaun mulk-e-fanaa se lauTaa hai
na jaane khatm hui kab hamaari aazaadi
taalluqaat ki paabandiyaan nibhaate hue
main ne jab pahle-pahal apnaa vatan chhoDaa thaa
duur tak mujh ko ik aavaaz bulaane aai
mujhe to khair vatan chhoD kar amaan na mili
vatan bhi mujh se gharib-ul-vatan ko tarsegaa