Shayari
chaand mein tu nazar aayaa thaa mujhe
main ne mahtaab nahin dekhaa thaa
khvaab mere churaa liye us ne
jis ko main ne udhaar diin aankhein
خواب میرے چرا لئے اس نے
جس کو میں نے ادھار دیں آنکھیں
ख़्वाब मेरे चुरा लिए उस ने
जिस को मैं ने उधार दीं आँखें

chaand mein tu nazar aayaa thaa mujhe
main ne mahtaab nahin dekhaa thaa
khud ko kitnaa bhulaa diyaa main ne
tu bhi ab ajnabi saa lagtaa hai
sitam to ye hai ki main ne use bhi chhoD diyaa
jo sab ko chhoD ke tanhaa khaDaa hai mere saath
zakhm khaa kar bhi jo duaaein de
kaun us kaa muqaabla karegaa
tum se mil kar main us ko bhuul gayaa
jis ne tum se mujhe milaayaa hai
jaane kyaa kah rahaa thaa vo mujh se
main ne bhi kah diyaa ki khush huun main
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
har ek shakhs yahaan mahv-e-khvaab lagtaa hai
kisi ne ham ko jagaayaa nahin bahut din se
ham kis ko dikhaate shab-e-furqat ki udaasi
sab khvaab mein the raat ko bedaar hamin the
kunein ki samt bulaa le na koi khvaab mujhe
main apne baap kaa sab se hasin beTaa huun
tere khvaabon ki lat lagi jab se
raat kaa intizaar rahtaa hai