Shayari
tujh se bhi kab hui tadbir miri vahshat ki
tu bhi muTThi mein kahaan bheinch sakaa paani ko
lams-e-sadaa-e-saaz ne zakhm nihaal kar diye
ye to vahi hunar hai jo dast-e-tabib-e-jaan mein thaa
لمس صدائے ساز نے زخم نہال کر دیے
یہ تو وہی ہنر ہے جو دست طبیب جاں میں تھا
लम्स-ए-सदा-ए-साज़ ने ज़ख़्म निहाल कर दिए
ये तो वही हुनर है जो दस्त-ए-तबीब-ए-जाँ में था

tujh se bhi kab hui tadbir miri vahshat ki
tu bhi muTThi mein kahaan bheinch sakaa paani ko
khvaab-e-ziyaan hain umr kaa khvaab hain haasil-e-hayaat
is kaa bhi thaa yaqin mujhe vo bhi mire gumaan mein thaa
samaai kis tarah meri aankhon ki putliyon mein
vo ek hairat jo aaine se bahut baDi thi
na dastakein na sadaa kaun dar pe aayaa hai
faqir-e-shahr hai yaa shahryaar dekhiyegaa
saalgirah par kitni nek tamannaaein mausul huiin
lekin in mein ek mubaarakbaad abhi tak baaqi hai
qatra Thiik hai dariyaa hone mein nuqsaan bahut hai
dekh to kaise Duub rahaa hai meraa lashkar mujh mein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dard ki dhuup mein sahraa ki tarah saath rahe
shaam aai to lipaT kar hamein divaar kiyaa
yuun bhi mili hai mujh ko mire zabt-e-gham ki daad
aksar vo sar jhukaae hue muskuraae hain
tanhaaiyaan safar mein musalsal bani rahin
phir bhi tumhaaraa naam pukaare chale gae