Shayari
shajar mahfuz aangan kaa rakho tum
parinde chahchahaanaa chaahte hain
tanhaaiyaan safar mein musalsal bani rahin
phir bhi tumhaaraa naam pukaare chale gae
تنہائیاں سفر میں مسلسل بنی رہیں
پھر بھی تمہارا نام پکارے چلے گئے
तन्हाइयाँ सफ़र में मुसलसल बनी रहीं
फिर भी तुम्हारा नाम पुकारे चले गए

shajar mahfuz aangan kaa rakho tum
parinde chahchahaanaa chaahte hain
ghar banaane mein 'umr lagti hai
ghar mein bante makaan dekhe hain
kaun rahtaa hai safar mein 'umr bhar
mustaqil koi Thikaanaa chaahiye
khiDki ke apni us ne bhi parde giraa liye
mere bhi raaste ki rukaavaT nahin rahi
khaTkhaTaayaa gayaa hai dar itnaa
dastakon ke nishaan dekhe hain
mujhe bhi paDh liyaa hotaa sabhi ne
miraa lahja agar akhbaar hotaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
aisi taraqqi par to ronaa bantaa hai
jis mein dahshat-gard corona bantaa hai