Shayari
qismat kaa miri haal bataaoge mujhe kyaa
mazdur ke haathon pe lakirein nahin hotin
sakht mashaqqat vaale din bhi kaaTe hain
khuun rulaane vaali raatein dekhi hain
سخت مشقت والے دن بھی کاٹے ہیں
خون رلانے والی راتیں دیکھی ہیں
सख़्त मशक़्क़त वाले दिन भी काटे हैं
ख़ून रुलाने वाली रातें देखी हैं

qismat kaa miri haal bataaoge mujhe kyaa
mazdur ke haathon pe lakirein nahin hotin
vo jo anaa ki qaid mein ab tak hai mutmain
ab us ke lauTne kaa gumaan kis liye karein
mujhe paarsaai kaa daavaa nahin hai
farishta nahin main niraa aadmi huun
vaqt ke daaere mein rahte hue
thak chukaa huun hayaat sahte hue
mustaqbil ke khauf se sahmaa rahtaa huun
main ne buDhe peD ki aankhein dekhi hain
bun rahi hain jaal phir se makDiyaan
ek aavaara si makkhi ke liye
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
kahun ai zauq kyaa haal-e-shab-e-hijr
ki thi ik ik ghaDi sau sau mahine
ab bhi barsaat ki raaton mein badan TuTtaa hai
jaag uThti hain ajab khvaahishein angDaai ki
andheri shab kaa ye khvaab-manzar mujhe ujaalon se bhar rahaa hai
to raat itni tavil kar de ki taa-qayaamat sahar na aae