Shayari
aaghaaz-e-mohabbat mein 'aajiz' rukti na thi mauj-e-ashk-e-ravaan
anjaam ab in khushk aankhon se ik ashk nikalnaa mushkil hai
jamhuriyat kaa dars agar chaahte hain aap
koi bhi saaya-daar shajar dekh lijiye
جمہوریت کا درس اگر چاہتے ہیں آپ
کوئی بھی سایہ دار شجر دیکھ لیجئے
जम्हूरियत का दर्स अगर चाहते हैं आप
कोई भी साया-दार शजर देख लीजिए

aaghaaz-e-mohabbat mein 'aajiz' rukti na thi mauj-e-ashk-e-ravaan
anjaam ab in khushk aankhon se ik ashk nikalnaa mushkil hai
mahv-e-hairat huun kharaash-e-dast-e-gham ko dekh kar
zakhm chehre par hain yaa hai aaina TuuTaa huaa
hasratein aa aa ke jama ho rahi hain dil ke paas
kaarvaan goyaa pahunchne vaalaa hai manzil ke paas
hotaa hai mahsus ye 'aajiz' shaayad us ne dastak di
tez havaa ke jhonke jab darvaaze se Takraate hain
muntazir huun main kafan baandh ke sar se 'aajiz'
saamne se koi khanjar nahin aayaa ab tak
insaan haadsaat se kitnaa qarib hai
tu bhi zaraa nikal ke kabhi apne ghar se dekh
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
uThaa sakte nahin jab chuum kar hi chhoDnaa achchhaa
mohabbat kaa ye patthar is dafa bhaari ziyaada hai
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
tiri abru hai mehraab-e-mohabbat
namaaz-e-ishq mere par hui farz