Shayari
khincho na kamaanon ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo
aai hogi kisi ko hijr mein maut
mujh ko to niind bhi nahin aati
آئی ہوگی کسی کو ہجر میں موت
مجھ کو تو نیند بھی نہیں آتی
आई होगी किसी को हिज्र में मौत
मुझ को तो नींद भी नहीं आती

khincho na kamaanon ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo
log kahte hain badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hain jo zamaane ko badal dete hain
ham aisi kul kitaabein qaabil-e-zabti samajhte hain
ki jin ko paDh ke laDke baap ko khabti samajhte hain
shaikh apni rag ko kyaa karein reshe ko kyaa karein
mazhab ke jhagDe chhoDein to peshe ko kyaa karein
jis taraf uTh gai hain aahein hain
chashm-e-bad-dur kyaa nigaahein hain
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasinon ko bhi kitnaa sahl hai bijli giraa denaa
kabhi khauf thaa tire hijr kaa kabhi aarzu ke zavaal kaa
rahaa hijr-o-vasl ke darmiyaan tujhe kho sakaa na main paa sakaa
ehsaan kar rahaa hai tiraa hijr in dinon
main in dinon khudaa ke ziyaada qarib huun
kah do ye kohkan se ki marnaa nahin kamaal
mar mar ke hijr-e-yaar mein jiinaa kamaal hai
jo ghazal aaj tire hijr mein likkhi hai vo kal
kyaa khabar ahl-e-mohabbat kaa taraana ban jaae
yakh-basta shab guzaar kabhi tu bhi hijr mein
meri tarah kisi se mavaddat tujhe bhi ho
jaagtaa huun main ek akelaa duniyaa soti hai
kitni vahshat hijr ki lambi raat mein hoti hai