Shayari
ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
dusron kaa dard 'akhtar' mere dil kaa dard hai
mubtalaa-e-gham hai duniyaa aur main gham-khvaar huun
دوسروں کا درد اخترؔ میرے دل کا درد ہے
مبتلائے غم ہے دنیا اور میں غم خوار ہوں
दूसरों का दर्द 'अख़्तर' मेरे दिल का दर्द है
मुब्तला-ए-ग़म है दुनिया और मैं ग़म-ख़्वार हूँ

ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
samajhtaa huun main sab kuchh sirf samjhaanaa nahin aataa
taDaptaa huun magar auron ko taDpaanaa nahin aataa
us se puchhe koi chaahat ke maze
jis ne chaahaa aur jo chaahaa gayaa
yaaron ke ikhlaas se pahle dil kaa mire ye haal na thaa
ab vo chaknaachur paDaa hai jis shishe mein baal na thaa
rang o bu mein Duube rahte the havaas
haae kyaa shai thi bahaar-e-aarzu
ragon mein dauDti hain bijliyaan lahu ke evaz
shabaab kahte hain jis chiiz ko qayaamat hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin