Shayari
bik jaataa huun haathon-haath
had se ziyaada sastaa huun
bas isi ummid pe hotaa gayaa barbaad main
gar kabhi bikhraa to aa kar tu sambhaalegaa mujhe
بس اسی امید پہ ہوتا گیا برباد میں
گر کبھی بکھرا تو آ کر تو سنبھالے گا مجھے
बस इसी उम्मीद पे होता गया बर्बाद मैं
गर कभी बिखरा तो आ कर तू सँभालेगा मुझे

bik jaataa huun haathon-haath
had se ziyaada sastaa huun
yaar main itnaa bhukaa huun
dhokaa bhi khaa letaa huun
ek rishta jise main de na sakaa koi naam
ek rishta jise taa-umr nibhaae rakkhaa
kaise tum bhuul gae ho mujhe aasaani se
ishq mein kuchh bhi to aasaan nahin hotaa hai
tu sirf meri hai us kaa ghurur hai mujh ko
agar ye vahm meraa hai to koi baat nahin
thaa mujhe vahm-o-gumaan ki vo faqat meri hai
aur us ne bhi bharam meraa banaae rakkhaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge