Shayari
inqalaab aaegaa raftaar se maayus na ho
bahut aahista nahin hai jo bahut tez nahin
sau milin zindagi se saughaatein
ham ko aavaargi hi raas aai
سو ملیں زندگی سے سوغاتیں
ہم کو آوارگی ہی راس آئی
सौ मिलीं ज़िंदगी से सौग़ातें
हम को आवारगी ही रास आई

inqalaab aaegaa raftaar se maayus na ho
bahut aahista nahin hai jo bahut tez nahin
puraane saal ki ThiThuri hui parchhaaiyaan simTin
nae din kaa nayaa suraj ufuq par uThtaa aataa hai
daaman jhaTak ke vaadi-e-gham se guzar gayaa
uTh uTh ke dekhti rahi gard-e-safar mujhe
shikaayatein bhi bahut hain hikaayatein bhi bahut
mazaa to jab hai ki yaaron ke ru-ba-ru kahiye
bahut barbaad hain lekin sadaa-e-inqalaab aae
vahin se vo pukaar uThegaa jo zarra jahaan hogaa
ye kis ne phone pe di saal-e-nau ki tahniyat mujh ko
tamannaa raqs karti hai takhayyul gungunaataa hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai