Shayari
khush-nasibi hai tumhaari sar pe hai jo maan kaa haath
ham yatimon ko pata hai ye du'aa kyaa chiiz hai
ghamon ko bech rahaa huun main is liye shaayad
kahaa thaa baap ne paisa bahut zaruri hai
غموں کو بیچ رہا ہوں میں اس لئے شاید
کہا تھا باپ نے پیسہ بہت ضروری ہے
ग़मों को बेच रहा हूँ मैं इस लिए शायद
कहा था बाप ने पैसा बहुत ज़रूरी है

khush-nasibi hai tumhaari sar pe hai jo maan kaa haath
ham yatimon ko pata hai ye du'aa kyaa chiiz hai
shab-e-gham ki yuun bhi main kartaa huun 'izzat
ye shab 'umr mein mujh se kaafi baDi hai
kuchh der to Dare tiri jaadugari se ham
phir dekhne lage tujhe sanjidgi se ham
us ne rakkhaa thaa haath saahil par
tab se dariyaa mein bhi sharaare hain
main ne dafnaae vaaldain apne
mujh se puchho ki hausla kyaa hai
saath jab chhoD gae meraa tum ai kuza-gar
khud ko majburi mein phir khud hi taraashaa main ne
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
itni na intishaar ki hiddat ho ru-ba-ru
insaan gham-e-hayaat mein jaltaa dikhaai de
jhuTi mahfil hai jhuTi tanhaai
ik tire 'ishq kaa bharam sachchaa