Shayari
saanvle tan pe qabaa hai jo tire bhaari hai
laala kahtaa hai chaman mein ki ye 'girdhaari' hai
ji chaahtaa hai saane-e-qudrat pe huun nisaar
but ko biThaa ke saamne yaad-e-khudaa karun
جی چاہتا ہے صانع قدرت پہ ہوں نثار
بت کو بٹھا کے سامنے یاد خدا کروں
जी चाहता है साने-ए-क़ुदरत पे हूँ निसार
बुत को बिठा के सामने याद-ए-ख़ुदा करूँ

saanvle tan pe qabaa hai jo tire bhaari hai
laala kahtaa hai chaman mein ki ye 'girdhaari' hai
sarv ko dekh ke kahtaa hai dil-e-basta-e-zulf
ham giraftaar hain is baagh mein aazaad hain sab
kis tarah 'amaanat' na rahun gham se main dil-gir
aankhon mein phiraa karti hai ustaad ki surat
bosa aankhon kaa jo maangaa to vo hans kar bole
dekh lo duur se khaane ke ye baadaam nahin
gaali ke sivaa haath bhi chaltaa hai ab un kaa
har roz nai hoti hai bedaad ki surat
daaman pe loTne lage gir gir ke tifl-e-ashk
roe firaaq mein to dil apnaa bahal gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
tum jise yaad karo phir use kyaa yaad rahe
na khudaai ki ho parvaa na khudaa yaad rahe
tanhaaiyaan tumhaaraa pata puchhti rahin
shab-bhar tumhaari yaad ne sone nahin diyaa
kitne naadaan hain tire bhulne vaale ki tujhe
yaad karne ke liye umr paDi ho jaise
izhaar ki ye bhi surat thi
khaamoshi ko fariyaad kiyaa