Shayari
itne khadshe nahin hain raston mein
jis qadar khvaahish-e-safar mein hain
guzrein jo mere ghar se to ruk jaaein sitaare
is tarah miri raat ko chamkaao kisi din
گزریں جو میرے گھر سے تو رک جائیں ستارے
اس طرح مری رات کو چمکاؤ کسی دن
गुज़रें जो मेरे घर से तो रुक जाएँ सितारे
इस तरह मिरी रात को चमकाओ किसी दिन

itne khadshe nahin hain raston mein
jis qadar khvaahish-e-safar mein hain
vo tire nasib ki baarishein kisi aur chhat pe baras gaiin
dil-e-be-khabar miri baat sun use bhuul jaa use bhuul jaa
kahaan aa ke rukne the raaste kahaan moD thaa use bhuul jaa
vo jo mil gayaa use yaad rakh jo nahin milaa use bhuul jaa
jaise baarish se dhule sehn-e-gulistaan 'amjad'
aankh jab khushk hui aur bhi chehraa chamkaa
ek nazar dekhaa thaa us ne aage yaad nahin
khul jaati hai dariyaa ki auqaat samundar mein
sadiyaan jin mein zinda hon vo sach bhi marne lagte hain
dhuup aankhon tak aa jaae to khvaab bikharne lagte hain
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
rok do ye raushni ki tez dhaar
meri miTTi mein gundhi hai raat bhi
rang ho raushni ho yaa khushbu
sab mein partav usi hasin ke hain
aankhon mein nahin silsila-e-ashk shab-o-roz
tasbih paDhaa karte hain din raat tumhaari