Shayari
kamaal-e-husn hai husn-e-kamaal se baahar
azal kaa rang hai jaise misaal se baahar
hijr ki anjuman se har saaat
ashk-e-be-taab ki tarah guzri
ہجر کی انجمن سے ہر ساعت
اشک بے تاب کی طرح گزری
हिज्र की अंजुमन से हर साअ'त
अश्क-ए-बे-ताब की तरह गुज़री

kamaal-e-husn hai husn-e-kamaal se baahar
azal kaa rang hai jaise misaal se baahar
tiir aayaa thaa jidhar ye mire shahr ke log
kitne saadaa hain ki marham bhi vahin dekhte hain
vo saamne hai phir bhi dikhaai na de sake
mere aur us ke beach ye divaar kaun hai
jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazrein
iid ke chaand kaa didaar bahaana hi sahi
tumhi ne kaun si achchhaai ki hai
chalo maanaa ki main achchhaa nahin thaa
be-samar peDon ko chumeinge sabaa ke sabz lab
dekh lenaa ye khizaan be-dast-o-paa rah jaaegi
ham-nashin dekhi nahusat daastaan-e-hijr ki
sohbatein jamne na paai thiin ki barham ho gaiin
shab-e-hijr jab khvaab dekhaa ye dekhaa
ki tujh ko gale se lagaae hue hain
tujh hijr ki agan kuun bujhaane ai sang dil
koi aab-zan-rafiq ba-juz chashm-e-tar nahin
na paayaa vaqt ai zaahid koi main ne ibaadat kaa
shab-e-hijraan hui aakhir to subh-e-intizaar aai
dekh kar tul-e-shab-e-hijr duaa kartaa huun
vasl ke roz se bhi umr miri kam ho jaae
kabhi duniyaa mein phir na hogi sahar
hijr ki shab agar sahar na hui