Shayari
ghair to aansu pochheinge
dhokaa deinge apne log
main aise dar kaa gadaa huun jahaan pe moti kyaa
hazaar baar mujhe sang aab-daar mile
میں ایسے در کا گدا ہوں جہاں پہ موتی کیا
ہزار بار مجھے سنگ آب دار ملے
मैं ऐसे दर का गदा हूँ जहाँ पे मोती क्या
हज़ार बार मुझे संग आब-दार मिले

ghair to aansu pochheinge
dhokaa deinge apne log
ye baadshaah nahin hai faqir hai suraj
hamesha raat ki jholi se din nikaaltaa hai
mujhe sone ki qimat mat bataao
main miTTi huun miri azmat bahut hai
jo doston ki mohabbat se ji nahin bhartaa
to aastin mein do-chaar saanp paal ke rakh
jis baat kaa matlab khushbu hai har gaanv ke kachche raste par
us baat kaa matlab badlegaa jab pakki saDak aa jaaegi
zaraa mahfuz raston se guzarnaa
tumhaari shahr mein shohrat bahut hai
kaajal mehndi paan misi aur kanghi choTi mein har aan
kyaa kyaa rang banaavegi aur kyaa kyaa naqshe Dhaalegi
bas ai 'mir' mizhgaan se ponchh aansuon ko
tu kab tak ye moti pirotaa rahegaa
phire raah se vo yahaan aate aate
ajal mar rahi tu kahaan aate aate
aap ko marnaa hai to pahle se notice dijiye
yaa'ni jurm-e-intiqaal-e-naa-gahaan mat kijiye
'qaaem' hayaat-o-marg-e-buz-o-gaav mein hain nafa
is mardumi ke shor pe kis kaam kaa huun main
iltijaa karte hue pyaasaa parinda mar gayaa
ab to dariyaa ko hayaa se Duub marnaa chaahiye