Shayari
hanste hanste nikal paDe aansu
rote rote kabhi hansi aai
kuchh samajh mein miri nahin aataa
dil lagaane se faaeda kyaa hai
کچھ سمجھ میں مری نہیں آتا
دل لگانے سے فائدہ کیا ہے
कुछ समझ में मिरी नहीं आता
दिल लगाने से फ़ाएदा क्या है

hanste hanste nikal paDe aansu
rote rote kabhi hansi aai
khushi ki baat aur hai ghamon ki baat aur
tumhaari baat aur hai hamaari baat aur
har ek shakhs miraa shahr mein shanaasaa thaa
magar jo ghaur se dekhaa to main akelaa thaa
shaayad aa jaae kabhi dekhne vo rashk-e-masih
main kisi aur se is vaaste achchhaa na huaa
ji to ye chaahtaa hai mar jaaein
zindagi ab tiri razaa kyaa hai
sukun qalb ko jis se mil jaae 'taabaan'
ghazal koi aisi sunaa dijiyegaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
baadalon ne aaj barsaayaa lahu
amn kaa har faakhta rone lagaa
uDti hai khaak dil ke darichon ke aas-paas
shaayad makin koi nahin is makaan mein
ishq ki choT kaa kuchh dil pe asar ho to sahi
dard kam ho yaa ziyaada ho magar ho to sahi
dil to pahle hi judaa the yahaan basti vaalo
kyaa qayaamat hai ki ab haath milaane se gae