Shayari
khirad ki aag mein sadiyon jale badan lekin
dil-o-dimaagh se bu-e-munaafirat na gai
baraae-naam sahi koi mehrbaan to hai
hamaare sar pe bhi hone ko aasmaan to hai
برائے نام سہی کوئی مہربان تو ہے
ہمارے سر پہ بھی ہونے کو آسمان تو ہے
बराए-नाम सही कोई मेहरबान तो है
हमारे सर पे भी होने को आसमान तो है

khirad ki aag mein sadiyon jale badan lekin
dil-o-dimaagh se bu-e-munaafirat na gai
zindagi jis ke tasavvur mein basar ki ham ne
haae vo shakhs haqiqat mein kahaani niklaa
miri talaash mein hai koi aisaa lagtaa hai
kisi kaa gum-shuda 'shaadaab' rakht huun shaayad
jo apne aap se baDh kar hamaaraa apnaa thaa
use qarib se dekhaa to duur kaa niklaa
shaayad koi kami mere andar kahin pe hai
main aasmaan pe huun miraa saaya zamin pe hai
aandhiyaan sab kuchh uDaa kar le gaiin
peD par patta na phal daaman mein thaa
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai