Shayari
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
'aarzu' be-asar mohabbat chhoD
kyuun kare kaam jab nahin aataa
آرزوؔ بے اثر محبت چھوڑ
کیوں کرے کام جب نہیں آتا
'आरज़ू' बे-असर मोहब्बत छोड़
क्यूँ करे काम जब नहीं आता

nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
khizaan kaa bhes banaa kar bahaar ne maaraa
mujhe do-rangi-e-lail-o-nahaar ne maaraa
aap apne se barhami kaisi
main nahin koi aur hai ye bhi
phir chaahe to na aanaa o aan baan vaale
jhuTaa hi vaada kar le sachchi zabaan vaale
hasraton kaa dil se qabza uTh gayaa
ghaasibon ki hukmraani khatm hai
jazb-e-nigaah-e-shoabada-gar dekhte rahe
duniyaa unhin ki thi vo jidhar dekhe rahe
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
mahfil-e-ishq mein vo naazish-e-dauraan aayaa
ai gadaa khvaab se bedaar ki sultaan aayaa