Shayari
khud-bakhud chhoD gae hain to chalo Thiik huaa
itne ahbaab kahaan ham se sanbhaale jaate
zhaala-baari bhi rahi dhuup bhi thi baarish bhi
teri yaadon ke ilaaqe mein ye manzar dekhe
ژالہ باری بھی رہی دھوپ بھی تھی بارش بھی
تیری یادوں کے علاقے میں یہ منظر دیکھے
ज़ाला-बारी भी रही धूप भी थी बारिश भी
तेरी यादों के इलाक़े में ये मंज़र देखे

khud-bakhud chhoD gae hain to chalo Thiik huaa
itne ahbaab kahaan ham se sanbhaale jaate
nit-nayaa tu ne zamaane mein kharidaa badlaa
tere kahne pe kahaan ham ne aqida badlaa
umr-bhar maan ki nasihat pe zamaane mein 'asad'
faatima-zehraa ke bachchon se vafaadaari ki
is mohabbat ne hamein joD diyaa aapas mein
varna ham donon kaa ik jaisaa aqida to na thaa
koi to dekhe miri bebasi mohabbat mein
main aap apni jahaan mein hansi uDaataa phirun
guzar na jaae ye mausam basant kaa mausam
banafsha phuul khile har taraf zamin ke liye
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
jaada jaada chhoD jaao apni yaadon ke nuqush
aane vaale kaarvaan ke rahnumaa ban kar chalo
is raaste mein jab koi saaya na paaegaa
ye aakhiri darakht bahut yaad aaegaa
jaate hue kamre ki kisi chiiz ko chhu de
main yaad karungaa ki tire haath lage the
lamhaat-e-vasl yaad jo aae shab-e-firaaq
yak-lakht surkh ho gae aariz be-ikhtiyaar
yaad-e-jaanaan utar ke aai hai
shab ke ziine se chaandni ki tarah