Shayari
nahin but-khaana o kaaba pe mauquf
huaa har ek patthar mein sharar band
hai musalmaan ko hamesha aab-e-zamzam ki talaash
aur har ik barhaman gang-o-jaman mein mast hai
ہے مسلماں کو ہمیشہ آب زمزم کی تلاش
اور ہر اک برہمن گنگ و جمن میں مست ہے
है मुसलमाँ को हमेशा आब-ए-ज़मज़म की तलाश
और हर इक बरहमन गंग-ओ-जमन में मस्त है

nahin but-khaana o kaaba pe mauquf
huaa har ek patthar mein sharar band
nahin duniyaa mein aazaadi kisi ko
hai din mein shams aur shab ko qamar band
pataa miltaa nahin us be-nishaan kaa
liye phirtaa hai qaasid jaa-ba-jaa khat
zaahidaa kaabe ko jaataa hai to kar yaad-e-khudaa
phir jahaazon mein khayaal-e-naa-khudaa kartaa hai kyuun
zaahiri vaaz se hai kyaa haasil
apne baatin ko saaf kar vaaiz
DhunDh kar dil mein nikaalaa tujh ko yaar
tu ne ab mehnat miri be-kaar ki
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe