Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bichhi thiin har taraf aankhein hi aankhein
koi aansu giraa thaa yaad hogaa
بچھی تھیں ہر طرف آنکھیں ہی آنکھیں
کوئی آنسو گرا تھا یاد ہوگا
बिछी थीं हर तरफ़ आँखें ही आँखें
कोई आँसू गिरा था याद होगा

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jis taraf baiThte the vasl mein aap
usi pahlu mein dard rahtaa hai
ghamon par us ke kabhi e'tibaar mat karnaa
vo pyaaz kaaT ke aansu nikaal letaa hai
kitaab-e-ishq mein har aah ek aayat hai
par aansuon ko huruf-e-muqattiaat samajh