Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
ghazlon kaa hunar apni aankhon ko sikhaaeinge
roeinge bahut lekin aansu nahin aaeinge
غزلوں کا ہنر اپنی آنکھوں کو سکھائیں گے
روئیں گے بہت لیکن آنسو نہیں آئیں گے
ग़ज़लों का हुनर अपनी आँखों को सिखाएँगे
रोएँगे बहुत लेकिन आँसू नहीं आएँगे

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
zamin aabaad hoti jaa rahi hai
kahaan jaaegi tanhaai hamaari
sahraa mein aa nikle to maalum huaa
tanhaai ko vusat kam paD jaati hai
apne gham ki fikr na ki is duniyaa ki gham-khvaari mein
barson ham ne dast-e-junun se kaam liyaa daanaai kaa