Shayari
zindagi fan nahin madaari kaa
paaniyon se diye nahin jalte
in se vaabasta hai miraa bachpan
main khilaunon ki qadr kartaa huun
ان سے وابستہ ہے مرا بچپن
میں کھلونوں کی قدر کرتا ہوں
इन से वाबस्ता है मिरा बचपन
मैं खिलौनों की क़द्र करता हूँ

zindagi fan nahin madaari kaa
paaniyon se diye nahin jalte
hasin yaadein vo bachpan ki kahin dil se na kho jaaein
main apne aashiyaane mein khilaune ab bhi rakhtaa huun
ik bevafaa ke pyaar mein had se guzar gae
kaafir ke pyaar ne hamein kaafir banaa diyaa
apni kamar se aap hi baandhe safar tamaam
phir yuun huaa ki main kabhi apnaa nahin banaa
yuun mohabbat ko umr-bhar paDhnaa
zindagi imtihaan ho jaise
tum mire paas jab nahin hote
dhaDkanein ehtijaaj karti hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
vo arz-e-gham pe miri un kaa ehtimaam-e-sukut
tamaam shorish-e-tafsil-e-vaaqiaat gai
ek muddat se khamoshi kaa hai pahra har-su
jaane kis or gae shor machaane vaale
chupke se sah rahaa huun sitam tere bevafaa
meri khataa to jab ho ki chuun kar rahaa huun main
na kisi aah ki aavaaz na zanjir kaa shor
aaj kyaa ho gayaa zindaan mein ki zindaan chup hai
zaruri to nahin ye ki hilein lab
ye khaamoshi bhi to ik guftugu hai