Shayari
teri to 'bilqis' niraali hi baatein hain
is duniyaa mein kaise tiraa guzaaraa hogaa
nahin hai khvaab divaane kaa hasti
ye duniyaa sirf ik dhokaa nahin hai
نہیں ہے خواب دیوانے کا ہستی
یہ دنیا صرف اک دھوکا نہیں ہے
नहीं है ख़्वाब दीवाने का हस्ती
ये दुनिया सिर्फ़ इक धोका नहीं है

teri to 'bilqis' niraali hi baatein hain
is duniyaa mein kaise tiraa guzaaraa hogaa
apni to koi baat banaae nahin bani
kuchh ham na kah sake to kuchh us ne nahin suni
hai yuun ki kuchh to baghaavat-sirisht ham bhi hain
sitam bhi us ne zarurat se kuchh ziyaada kiyaa
uTh kar chale gae to kabhi phir na aaeinge
phir laakh tum bulaao sadaaein diyaa karo
dahshat-zada zamin par vahshat bhare makaan ye
is shahr-e-be-amaan kaa aakhir koi khudaa hai
dar badar ki khaak thi taqdir mein
ham liye kaandhon pe ghar chalte rahe
avval to be-vafaaon ki arvaah khinchtaa
maut-o-hayaat hoti agar ikhtiyaar mein
zarbul-masal hai hote hain maashuq be-vafaa
ye kuchh tumhaaraa zikr nahin hai khafaa na ho
itne fareb khaae hain qurbat mein yaar ki
'mohsin' fareb aur bhi khaayaa na jaaegaa
ye khud-e-farebi-e-ehsaas-e-aarzu to nahin
tiri talaash kahin apni justuju to nahin
fareb khaane ko pesha banaa liyaa ham ne
jab ek baar vafaa kaa fareb khaa baiThe
ye bhi fareb se hain kuchh dard aashiqi ke
ham mar ke kyaa kareinge kyaa kar liyaa hai ji ke