Shayari
niind aati hi nahin thi aagahi ke dard se
maut ne aaghosh mein le kar sulaayaa hai mujhe
ye shab-e-gham ye meri tanhaai
is rifaaqat kaa kaun saani hai
یہ شب غم یہ میری تنہائی
اس رفاقت کا کون ثانی ہے
ये शब-ए-ग़म ये मेरी तन्हाई
इस रिफ़ाक़त का कौन सानी है

niind aati hi nahin thi aagahi ke dard se
maut ne aaghosh mein le kar sulaayaa hai mujhe
chhin leti hai aadmi kaa vaqaar
muflisi bhi 'azaab hai yaaro
miT jaaegi vatan se jahaalat ki tirgi
vo dekh inqalaab kaa suraj qarib hai
ik maan ke dam se ziist mein raunaq thi barqaraar
ab vo nahin to raunaq-e-bazm-e-jahaan nahin
mazhab se us ke dil mein na paidaa huaa gudaaz
ye aadmi to aur bhi saffaak ho gayaa
barsaat muflison ki sadaa se raqib hai
kachche makaan girne kaa mausam 'ajib hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
hamaare she'r naghme aur sajde
adaa jo ho na paae kyaa hue vo
main phir rahaa huun shahr mein saDkon pe ghaaliban
aavaaz de ke mujh ko miraa ghar pukaar le
khuub gahri jo lagi choT to ham ne jaanaa
vaqt lagtaa hai kisi dard ko jaate jaate