Shayari
tujh ko hai ham se judaai aarzu
mere dil mein shauq hai didaar kaa
F
Faez Dehlvivo tamaashaa o khel holi kaa
sab ke tan rakht-e-kesari hai yaad
وہ تماشا و کھیل ہولی کا
سب کے تن رخت کیسری ہے یاد
वो तमाशा ओ खेल होली का
सब के तन रख़्त-ए-केसरी है याद
tujh ko hai ham se judaai aarzu
mere dil mein shauq hai didaar kaa
mujh ko auron se kuchh nahin hai kaam
tujh se har dam umid-vaari hai
raat din tu rahe raqibaan-sang
dekhnaa teraa mujh muhaal huaa
guD siin miThaa hai bosa tujh lab kaa
is jalebi mein qand o shakkar hai
husn be-saakhta bhaataa hai mujhe
surma ankhiyaan mein lagaayaa na karo
tujh badan par jo laal saari hai
aql us ne miri bisaari hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
ho gae din jinhein bhulaae hue
aaj kal hain vo yaad aae hue
tum se mile to khud se ziyaada
tum ko akelaa paayaa ham ne
chheDtaa kyuun hai khudaa ke liye sayyaad mujhe
nau-giraftaar huun aati nahin fariyaad mujhe
koi shikva na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai
ishq ki choT kaa kuchh dil pe asar ho to sahi
dard kam ho yaa ziyaada ho magar ho to sahi