Shayari
chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
miri mohabbat mein saari duniyaa ko ik khilaunaa banaa diyaa hai
ye zindagi ban gai hai maan aur mujh ko bachcha banaa diyaa hai
مری محبت میں ساری دنیا کو اک کھلونا بنا دیا ہے
یہ زندگی بن گئی ہے ماں اور مجھ کو بچہ بنا دیا ہے
मिरी मोहब्बत में सारी दुनिया को इक खिलौना बना दिया है
ये ज़िंदगी बन गई है माँ और मुझ को बच्चा बना दिया है

chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
ilaaj apnaa karaate phir rahe ho jaane kis kis se
mohabbat kar ke dekho naa mohabbat kyuun nahin karte
main ronaa chaahtaa huun khuub ronaa chaahtaa huun main
phir us ke baad gahri niind sonaa chaahtaa huun main
vo aql-mand kabhi josh mein nahin aataa
gale to lagtaa hai aaghosh mein nahin aataa
har gali kuche mein rone ki sadaa meri hai
shahr mein jo bhi huaa hai vo khataa meri hai
koi dariyaa ki taraf jaane ko tayyaar nahin
haath sab ke hain magar koi 'alam-daar nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
kaafir-e-ishq ko kyaa dair-o-haram se matlab
jis taraf tu hai udhar hi hamein sajda karnaa