Shayari
kitne shikve gile hain pahle hi
raah mein faasle hain pahle hi
hazaar tark-e-vafaa kaa khayaal ho lekin
jo ru-ba-ru hon to baDh kar gale lagaa lenaa
ہزار ترک وفا کا خیال ہو لیکن
جو روبرو ہوں تو بڑھ کر گلے لگا لینا
हज़ार तर्क-ए-वफ़ा का ख़याल हो लेकिन
जो रू-ब-रू हों तो बढ़ कर गले लगा लेना

kitne shikve gile hain pahle hi
raah mein faasle hain pahle hi
jitne the tere mahke hue aanchalon ke rang
sab titliyon ne aur dhanak ne uDaa liye
safar mein koi kisi ke liye Thahartaa nahin
na muD ke dekhaa kabhi saahilon ko dariyaa ne
pukaaraa jab mujhe tanhaai ne to yaad aayaa
ki apne saath bahut mukhtasar rahaa huun main
do dariyaa bhi jab aapas mein milte hain
donon apni apni pyaas bujhaate hain
jalte mausam mein koi faarigh nazar aataa nahin
Dubtaa jaataa hai har ik peD apni chhaanv mein
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
tujh se bichhDun to koi phuul na mahke mujh mein
dekh kyaa karb hai kyaa zaat ki sachchaai hai
ham jaison ne jaan ganvaai paagal the
duniyaa jaisi kal thi bilkul vaisi hai
maan ke khulus jaisaa thaa mausam bahaar kaa
fasl-e-khizaan hai sar-phiri aulaad ki tarah