Shayari
safar mein koi kisi ke liye Thahartaa nahin
na muD ke dekhaa kabhi saahilon ko dariyaa ne
yahi hai daur-e-gham-e-aashiqi to kyaa hogaa
isi tarah se kaTi zindagi to kyaa hogaa
یہی ہے دور غم عاشقی تو کیا ہوگا
اسی طرح سے کٹی زندگی تو کیا ہوگا
यही है दौर-ए-ग़म-ए-आशिक़ी तो क्या होगा
इसी तरह से कटी ज़िंदगी तो क्या होगा

safar mein koi kisi ke liye Thahartaa nahin
na muD ke dekhaa kabhi saahilon ko dariyaa ne
pukaaraa jab mujhe tanhaai ne to yaad aayaa
ki apne saath bahut mukhtasar rahaa huun main
do dariyaa bhi jab aapas mein milte hain
donon apni apni pyaas bujhaate hain
tumhaare saath hi us ko bhi Duub jaanaa hai
ye jaantaa hai musaafir tire safine kaa
hazaar tark-e-vafaa kaa khayaal ho lekin
jo ru-ba-ru hon to baDh kar gale lagaa lenaa
jitne the tere mahke hue aanchalon ke rang
sab titliyon ne aur dhanak ne uDaa liye
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kiyaa dard-o-gham ne mujhe naa-umid
ki majnun ko ye hi thiin bimaariyaan
hamaare she'r naghme aur sajde
adaa jo ho na paae kyaa hue vo
main phir rahaa huun shahr mein saDkon pe ghaaliban
aavaaz de ke mujh ko miraa ghar pukaar le