Shayari
ain mumkin hai use mujh se mohabbat hi na ho
dil bahar-taur use apnaa banaanaa chaahe
bhalaa main zakhm khol kar dikhaaun kyon
udaas huun to huun tumhein bataaun kyon
بھلا میں زخم کھول کر دکھاؤں کیوں
اداس ہوں تو ہوں تمہیں بتاؤں کیوں
भला मैं ज़ख़्म खोल कर दिखाऊँ क्यों
उदास हूँ तो हूँ तुम्हें बताऊँ क्यों

ain mumkin hai use mujh se mohabbat hi na ho
dil bahar-taur use apnaa banaanaa chaahe
vo khudaa hai to bhalaa us se shikaayat kaisi?
muqtadir hai vo sitam mujh pe jo Dhaanaa chaahe
kis kis phuul ki shaadaabi ko maskh karoge bolo!!!
ye to us ki den hai jis ko chaahe vo mahkaae
andar aisaa habs thaa main ne khol diyaa darvaaza
jis ne dil se jaanaa hai vo khaamoshi se jaae
aankh aur baadal donon TuuT ke rote hain
jaane in kaa aapas mein kyaa rishta hai
tumhaare rang phike paD gae naan
miri aankhon ki viraani ke aage
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vasl mein khaali hui ghair se mahfil to kyaa
sharm bhi jaae to main jaanun ki tanhaai hui
tar rakhiyo sadaa yaa-rab tu is mizha-e-tar ko
ham itr lagaate hain garmi mein isi khas kaa
go mujhe ehsaas-e-tanhaai rahaa shiddat ke saath
kaaT di aadhi sadi ek ajnabi aurat ke saath