Shayari
ye ghalat-fahmiyon kaa mausam hai
apne dil ko sanbhaal kar rakhnaa
tasviron par mat jaanaa
saali jhuTi hoti hain
تصویروں پر مت جانا
سالی جھوٹی ہوتی ہیں
तस्वीरों पर मत जाना
साली झूटी होती हैं

ye ghalat-fahmiyon kaa mausam hai
apne dil ko sanbhaal kar rakhnaa
nahin charaagh jalaaeinge ab kisi dar par
ham aap apni mohabbat mazaar kar leinge
tire hijrat ke maare bastiyon se laD rahe hain
jinhein yaksar tire dil mein Thikaana chaahiye thaa
chhoD jaaeinge tujhe chaand ke charche sun kar
chaDhte suraj ke pujaari hain tire divaane
aur is se peshtar us ko bhulaa sakun yaksar
use main us ki tarah yaad aanaa chaahti huun
vo koh-e-qaaf kaa jaise makin ho gayaa hai
bichhaD ke aur ziyaada hasin ho gayaa hai
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
tum ko paanaa nahin miraa maqsad
ab faqat tum ko bhuul jaanaa hai
maze jo teri qurbat ke the saare bhuul baiThe hain
mazaa furqat mein teri ham ko itnaa aa gayaa jaanaan
garmi se muztarib thaa zamaana zamin par
bhun jaataa thaa jo girtaa thaa daanaa zamin par
kuchh arz-e-tamannaa mein shikva na sitam kaa thaa
main ne to kahaa kyaa thaa aur aap ne kyaa jaanaa