Shayari
tujh ko manzur nahin mujh ko hai ab bhi manzur
meri qurbat mire bose mujhe vaapas kar de
nae bachchon ko chaahat hai nae mahnge khilaunon ki
ye aaTh aane kaa phirki kaa khilaunaa kaun dekhegaa
نئے بچوں کو چاہت ہے نئے مہنگے کھلونوں کی
یہ آٹھ آنے کا پھرکی کا کھلونا کون دیکھے گا
नए बच्चों को चाहत है नए महँगे खिलौनों की
ये आठ आने का फिरकी का खिलौना कौन देखेगा

tujh ko manzur nahin mujh ko hai ab bhi manzur
meri qurbat mire bose mujhe vaapas kar de
main kahaan aayaa huun laae hain tiri mahfil mein
miri vahshat mire majbur qadam aap hi aap
ab ke ruThe to manaane nahin aayaa koi
baat baDh jaae to ho jaati hai kam aap hi aap
mil rahi hai mujhe naa-karda gunaahon ki sazaa
mere maalik mire sajde mujhe vaapas kar de
yahi din hain barat le jitne zevar teraa ji chaahe
Dhalegi umr to ye chaandi sonaa kaun dekhegaa
miraa rotaa bachcha bahaltaa thaa jis se
vo lakDi kaa haathi uThaa le gayaa vo
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
kisi ke zakhm par chaahat se paTTi kaun baandhegaa
agar bahnein nahin hongi to raakhi kaun baandhegaa