Shayari
dard ulfat kaa na ho to zindagi kaa kyaa mazaa
aah-o-zaari zindagi hai be-qaraari zindagi
kahte hain eid hai aaj apni bhi eid hoti
ham ko agar mayassar jaanaan ki diid hoti
کہتے ہیں عید ہے آج اپنی بھی عید ہوتی
ہم کو اگر میسر جاناں کی دید ہوتی
कहते हैं ईद है आज अपनी भी ईद होती
हम को अगर मयस्सर जानाँ की दीद होती

dard ulfat kaa na ho to zindagi kaa kyaa mazaa
aah-o-zaari zindagi hai be-qaraari zindagi
aah! kal tak vo navaazish! aaj itni be-rukhi
kuchh to nisbat chaahiye anjaam ko aaghaaz se
mere pahlu mein tum aao ye kahaan mere nasib
ye bhi kyaa kam hai tasavvur mein to aa jaate ho
naaz ne phir kiyaa aaghaaz vo andaaz-e-niyaaz
husn-e-jaan-soz ko phir soz kaa daavaa hai vahi
mahv-e-did-e-chaman-e-shauq hai phir dida-e-shauq
gul-e-shaadaab vahi bulbul-e-shaidaa hai vahi
daana-o-daam sambhaalaa mire sayyaad ne phir
apni gardan hai vahi ishq kaa phandaa hai vahi
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
khuub gahri jo lagi choT to ham ne jaanaa
vaqt lagtaa hai kisi dard ko jaate jaate
be-khudi le gai kahaan ham ko
der se intizaar hai apnaa
taajjub kuchh nahin 'daanaa' jo baazaar-e-siyaasat mein
qalam bik jaaein to sach baat likhnaa chhoD dete hain