Shayari
gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
kabhi ki thi jo ab vafaa kijiyegaa
mujhe puchh kar aap kyaa kijiyegaa
کبھی کی تھی جو اب وفا کیجئے گا
مجھے پوچھ کر آپ کیا کیجئے گا
कभी की थी जो अब वफ़ा कीजिएगा
मुझे पूछ कर आप क्या कीजिएगा

gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
raat din naama-o-paighaam kahaan tak doge
saaf kah dijiye milnaa hamein manzur nahin
'hasrat' bahut hai martaba-e-aashiqi buland
tujh ko to muft logon ne mashhur kar diyaa
taasir-e-barq-e-husn jo un ke sukhan mein thi
ik larzish-e-khafi mire saare badan mein thi
ham kyaa karein agar na tiri aarzu karein
duniyaa mein aur bhi koi tere sivaa hai kyaa
chhup nahin sakti chhupaane se mohabbat ki nazar
paD hi jaati hai rukh-e-yaar pe hasrat ki nazar
koi barsaa na sar-e-kisht-e-vafaa
kitne baadal guhar-afshaan guzre
dil mein tufaan nahin aankh mein sailaab nahin
aise jiine se to behtar thaa ki mar hi jaate
ba-zaahir garm hai baazaar-e-ulfat
magar jins-e-vafaa kam ho gai hai
talaatum aarzu mein hai na tufaan justuju mein hai
javaani kaa guzar jaanaa hai dariyaa kaa utar jaanaa
chashm-poshi karein mukhlis hain vafaa mein vo agar
kyon mire achchhe-bure par vo nazar rakhte hain
vahin pe TuTne lagtaa hai aitabaar-e-vafaa
jahaan yaqin zyaada dilaae jaate hain