Shayari
gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
kahaan ham kahaan vasl-e-jaanaan ki 'hasrat'
bahut hai unhein ik nazar dekh lenaa
کہاں ہم کہاں وصل جاناں کی حسرتؔ
بہت ہے انہیں اک نظر دیکھ لینا
कहाँ हम कहाँ वस्ल-ए-जानाँ की 'हसरत'
बहुत है उन्हें इक नज़र देख लेना

gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
raat din naama-o-paighaam kahaan tak doge
saaf kah dijiye milnaa hamein manzur nahin
'hasrat' bahut hai martaba-e-aashiqi buland
tujh ko to muft logon ne mashhur kar diyaa
taasir-e-barq-e-husn jo un ke sukhan mein thi
ik larzish-e-khafi mire saare badan mein thi
ham kyaa karein agar na tiri aarzu karein
duniyaa mein aur bhi koi tere sivaa hai kyaa
chhup nahin sakti chhupaane se mohabbat ki nazar
paD hi jaati hai rukh-e-yaar pe hasrat ki nazar
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
jhukaanaa sikhnaa paDtaa hai sar logon ke qadmon mein
yunhi jamhuriyat mein haath sardaari nahin aati
ik baar tujhe aql ne chaahaa thaa bhulaanaa
sau baar junun ne tiri tasvir dikhaa di
nigaahein milte hi yuun kaam kar jaanaa mohabbat kaa
na un ko kuchh khabar honaa na mujh ko kuchh khabar honaa