Shayari
dil mein sajde kiyaa karo 'mufti'
is mein parvardigaar rahtaa hai
phir se vo lauT kar nahin aayaa
phir duaa mein asar nahin aayaa
پھر سے وہ لوٹ کر نہیں آیا
پھر دعا میں اثر نہیں آیا
फिर से वो लौट कर नहीं आया
फिर दुआ में असर नहीं आया

dil mein sajde kiyaa karo 'mufti'
is mein parvardigaar rahtaa hai
yuun to patthar bahut se dekhe hain
koi tum saa nazar nahin aayaa
ab to kar Daaliye vafaa us ko
vo jo vaada udhaar rahtaa hai
kaisaa jaadu hai samajh aataa nahin
niind meri khvaab saare aap ke
ik zaraa si baat pe ye munh banaanaa ruThnaa
is tarah to koi apnon se khafaa hotaa nahin
tere khvaabon ki lat lagi jab se
raat kaa intizaar rahtaa hai
yaad aae hain uff gunah kyaa kyaa
haath uThaae hain jab duaa ke liye
dukh na sahne ki sazaaon mein ghiraa rahtaa hai
shahr kaa shahr duaaon mein ghiraa rahtaa hai
baDhe kuchh aur kisi iltijaa se kam na hue
mire harif tumhaari duaa se kam na hue
duaa ye hai na hon gumraah ham-safar mere
'khumaar' main ne to apnaa safar tamaam kiyaa
main jo kahtaa huun mujh se duur raho
ye nasihat hai iltimaas nahin
jidhar bhi jaataa hai vo shola-e-bahaar-sarisht
duaaein detaa hai amboh-e-kushtgaan us ko