Shayari
khvaab ki tarah bikhar jaane ko ji chaahtaa hai
aisi tanhaai ki mar jaane ko ji chaahtaa hai
maaal-e-izzat-e-saadaat-e-ishq dekh ke ham
badal gae to badalne pe itni hairat kyaa
مآل عزت سادات عشق دیکھ کے ہم
بدل گئے تو بدلنے پہ اتنی حیرت کیا
मआल-ए-इज़्ज़त-ए-सादात-ए-इश्क़ देख के हम
बदल गए तो बदलने पे इतनी हैरत क्या

khvaab ki tarah bikhar jaane ko ji chaahtaa hai
aisi tanhaai ki mar jaane ko ji chaahtaa hai
beTiyaan baap ki aankhon mein chhupe khvaab ko pahchaanti hain
aur koi dusraa is khvaab ko paDh le to buraa maanti hain
duaaein yaad karaa di gai thiin bachpan mein
so zakhm khaate rahe aur duaa diye gae ham
vafaa ki khair manaataa huun bevafaai mein bhi
main us ki qaid mein huun qaid se rihaai mein bhi
raas aane lagi duniyaa to kahaa dil ne ki jaa
ab tujhe dard ki daulat nahin milne vaali
miTTi ki mohabbat mein ham aashufta-saron ne
vo qarz utaare hain ki vaajib bhi nahin the
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae